Barkat E Ramadan 06.
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-06 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"Jin Chizon Se Roza Nahi Toot'ta Unka Bayan"
✏Mas'ala: Makhkhi Ya Dhuwan Ya Gubaar (Dhool Mitti) Halaq Me Jane Se Roza Nahi Toot'ta Chahe Wo Gubar Aate Ka Ho Ki Chakki Peesne Ya Chhanne Me Udta Ho, Ya Galle Ka Gubar Ho, Ya Hawa Se Mitti Ud Kar Halq Me Paohchi Agarche Rozadar Hona Yaad Tha Magar Roza Nahi Toota, Agar Khud Qasdan Dhuwan Paohchaya To Roza Toot Gaya Jabki Roza Dar Hona Yaad Ho Phir Chahe Jis Chiz Ka Dhuwan Ho, Yahan Tak Ki Agarbatti Sulagti Thi Uske Qareeb Muh Kar Ke Naak Se Dhuwa'n Khicha To Roza Toot Gaya. Yun Hi Huqqa Peene Se Bhi Roza Toot Gaya, Aur Rozadar Hona Yaad Tha Phir Huqqa Piya To Use Kaffarah Bhi Lazim Ayega (61 Roze Rakhne Honge) {Bahar-E-Shariat, Volume-5}
✏Mas'ala: Pachhna Alagwaya Ya Tel (Oil) Ya Surma Lagaya To Roza Na Gaya, Agar Che Tel Ya Surma Ka Maza Halaq Me Mahsoos Hota Ho Balki Thook Me Surma Ka Rang Bhi Dikhai Deta Ho Jab Bhi Nahi Tootega. {Bahar-E-Shariat Hissa-5}
Albatta Surma Roza Ya Gaire Roza Ki Halat Me Mard Ko Zinat Ke Liye Lagana Makrooh Hai.
✏Mas'ala: Bosa (Kiss) Liya Magar Inzal Na Hua (Mani Nahi Nikli) To Roza Nahi Toota, Yun Hi Aurat Ki Sharmgah Ki Taraf Nazar Ki Magar Hath Na Lagaya Aur Inzal Ho Gaya Agarche Bar Bar Nazar Karne & Jima Karne Ke Khayal Se Inzal Hua Agarche Der Tak Khayal Jamane Se Aisa Hua In Sab Surton Me Roza Nahi Toota. {Bahar-E-Shariat Hissa-5}
✏Mas'ala: Bhule Se Khana Kha Raha Tha Yad Aate Hi Luqma Ugal Diya To Roza Nahi Toota Aur Yaad Aate Huye Nigal Liya To Toot Gaya. {Alamgiri, Jild-1, Page-203}
✏Mas'ala: Gusl Wajib Tha Isi Halat Me Sehri Kar Ke Roza Rakha To Roza Ho Gaya, Magar Sara Din Isi Halat Me Guzarna Ki Namaze Bhi Qaza Hon Gunah O Haram Hai. {Bahar-E-Shariat, Hissa -5, Page-984}
"Roza Todne Wali Chizon Ka Bayan"
✏Mas'ala: Huqqa Cigarette Se Roza Toot Jata Hai Agar Che Iska Dhuwan Halaq Tak Nahi Pahochta Hai... Isi Tarah Tambaku Pan In Sab Chizon Se Roza Toot Jata Hai. Agar Che Iski Peek Thook Dee Jati. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-986}
✏Mas'ala: Aisi Chiz Jo Muh Me Rakhne Se Ghul Jati Ho Muh Me Rakh Ke Thook Nigal Gaya To Roza Toot Gaya Jaise Shakar Wagera, Yun Hi Danton Me Koi Cheez Chane Barabar Ya Zayadah Thi Use Kha Gaya To Roza Toot Gaya. Yun Hi Danton Se Khoon Nikal Kar Halaq Se Niche Utra Aur hoon Thook Se Ziyadah Ya Kam Tha Magar Uska Maza Halaq Me Mahsoos Hua To In Sab Surton Me Roza Toot Gaya, Aur Agar Khoon Thook Se Kam Tha Aur Uska Maza Nahi Maloom Hua To Roza Nahi Toota. {الدرالمختار، كتاب الصوم، باب ما يفسد وما لا يفسد، ج-1، ص-424}
✏Mas'ala: Naak Ke Nathnon Se Dawa Chadhai Ya Kaan Me Tel Dala Ya Tel Chala Gaya To Roza Toot Gaya Aur Pani Kan Me Dala To Nahi Toota. {الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب الرابع فيما يفسد، ج-1، ص-203}
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment