Barkat E Ramadan 12

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-12 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

"FAZA'ILE TARAVEEH"

Taraveeh Wo Namaz Hai Jo Ramzane Pak Ke Mahine Me Isha Ki Namaz Ke Baad Ba-Jamat Padhi Jati Hai. Chunanche Sharahe Bukhari Hazrat Hafiz Hajar Asqalani رحمه الله تعالى Farmate Hain,

سميت الصلوة فی الجماعة فی لیالی رمضان التراويح

Ramzan Ki Raton Me Namaz Ba Jamat Ka Naam Taraveeh Hai. {فتح الباري شرح صحيح البخاري، جلد-4، صفحہ-250}

📚 HADEES: Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Riwayat Karte Hain, كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يرغب فى قيام رمضان من غير ان يامرهم فيه بعزيمة فيقول من قام رمضان ايمانا واحتسابا غفرله ما تقدم من ذنبه فتوفى رسول الله صلى الله عليه وسلم والامر على ذلك ثم كان الامر على ذلك فى خلافة ابى بكر وصدرا من خلافة على عمر من ذلك

Tarjamah - Rasulullah صلى الله عليه وسلم Qayame Ramzan (Taraveeh) Par Ubharte The, Bagair Uski Had Aur Takeed Ka Hukm Diye, Chunanche Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate The, Jisne Ramzan Ki Raton Me Imaan O Ehtesab Ke Sath Namaz (Taraveeh) Padhi Uske Agle Gunah (Sagerah) Muaaf Kar Diye Jayenge, Pas Rasulullah صلى الله عليه وسلم Is Dunya Se Tashreef Le Gaye Aur Ye Mamla Chalta Raha Phir Hazrat Abu Bakar Ki Khilafat Aur Hazrat Umar Ki Ibtedai Aimmaye Khilafat Me Bhi Isi Tarah Raha. (صحیح بخاری، ج-1، ص-269، صحیح مسلم، ج-1، ص-259، سنن ابی داؤد، ج-1، ص-210)

👉🏼 Is Hadees E Pak Se Jahan Namaze Taraveeh Ki Fazilat Sabit Hui Wahi Yeh Bhi Pata Chala Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ramzan Me Taraveeh Ka Shaoq Dilaya Magar Uski Koi Tadad Rakato Ki Fix Nahi Kee.

📌 Na Koi Takeed Ki Is Liye Ki Kahi Ye Ummat Pe Farz Na Ho Jaye, Balki Har Shakhs Ki Himmat Pe Ise Aap صلى الله عليه وسلم Ne Chhoda Jisse Jitna Ho Sake Padhe Kam Ya Ziyadah Ya Padhe Ya Na Padhe, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Hayate Zaheri Me Bhi Yahi Halat Rahi Yahan Tak Hazrat Abu Bakar Siddiq رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Muddate Khilafat Me Bhi Yahi Haal Raha Phir Hazrat Umar Farooq رضی اللہ تعالٰی عنہ Ka Zamana Khilafat Aaya, Aap Eik Raat Masjid Me Gaye Aur Logo Ko Alag Alag Padhte Paya Aur Kuch Log Mil Ke Padh Rahe The, Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Ye Dekh Kar Farmaya Mai Munasib Samajhta Hun Sab Ko Eik Imam Ke Sath Jama Kar Dun To Behtar Hai, Aap Ne Sab Ko Jama Farmaya Aur Hazrat Ubai Bin Ka'ab رضی اللہ تعالٰی عنہ Ko Imamat Ka Hukm Diya Aapne 20 Rakat Taraveeh Logo Ko Ba-Jamat Padhai. {صحيح البخاري" كتاب صلاة التراويح، باب فضل من قام رمضان، جلد-1، صفحہ-658، الحديث-2010}

👉🏼 Ye Bada Almiyah Hai Ki Log Ramzan Me Kasrat Se Ibadat Ko Haram O Jayez Aur Bid'at Se Tabeer Kar Rahe Hain.

📌 Qayamat Me Fara'iz Ki Kami Nawafil Se Puri Hogi Aur Hadise Qudsi Me Rab Ka Irshad Hai Ki Bandah Nawafil Se Mera Qurb (Nazdeeki) Hasil Karta Hai Magar Ajeeb Mamla Hai Ramzan Me Kuch Log Ziyadh Namaz Padhne Se Rokte Hain Aur Khud Bhi Nahi Padhte Aur Isi Kaam Naam In BE'AQLON Ne Amal Bil Hadees (Hadees Par Amal) Rakha Hai.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27