Barkat E Ramadan 22
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-22 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"TARAVEEH 20 PAR SAHABA KA AMAL AUR IJMA"
🕌 TARAVEEH Ki Jo Namaz Huzoor Se Hazrat Amirul Momineem Sayyeda Abu Bakar Siddiq Ke Zamane Tak Akele Ya Kai Kai Jamaton Ki Shakl Me Hoti Thi Wo Hazrat Umar Ke Zamane Se Ba'qaidah Ba'jamat Ek Imam Ke Piche Hone Lagi, Aur Tab Se Ab Tak 20 Hi Ka Mamool Ban Gaya.
☪ Khulafa E Rashideen (Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali رضى الله عنهم) Ke Ilawah Bhi Digar Sahaba Se 20 Hi Rakat Taraveeh Manqool Hai, Chand Mash'hoor Sahaba Wa Taba'een Ka Amal Ikhtesar Se Pesh Kiya Jata Hai.
🛡 Sahabiye Rasool صلى الله عليه وسلم Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله عنه Ka Amal,
Hazrat Zaid Bin Wahab (زيد بن وهب) Farmate Hain, كان ابن مسعود يصلى بنا فى شهر رمضان فينصرف وعليه ليل قال الاعمش كان يصلى عشرين ركعة ويوتر بثلاث "Tarjamah - Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Ramzanul Mubarak Me Hame Taraveeh Padhate The Aur Ghar Laut Jate To Raat Abhi Baqi Hoti Thi, Hadees Ke Rawi Imame Aa'mash Farmate Hain Aap 20 Rakat Aur 3witr Padhate The. (قيام الليل للمروزى، ص-١٥٧)
🛡 Hazrat Ataa Bin Abi Ribah رحمه الله تعالى Jalilul Qadr Taba'ee Hain 200 Sahaba Ki Ziyarat Ki Hai Aap Farmate Hain,
ادركت الناس وهم يصلون ثلاثا وعشرين ركعة بالوتر "Mein Ne Logon (Sahaba Wa Taba'een) Ko 20 Rakat Taraveeh Aur 3 Witr Padhte Paya. (مصنف ابن ابى شيبه، ج-٥، ص-٢٢٤، رقم الحدیث ٧٧٧٠)
🔰 Hazrat Shutair Bin Shakl رحمه الله تعالى Mash'hoor Taba'ee Hain Hazrat Ali رضى الله عنه Ke Shagir Hain Aapke Bare Me Riwayat Hai,
عن شتير بن شكل وكان من اصحاب على انه كان يو مهم فى شهر رمضان بعشرين ركعة ويوتر بثلاث "Tarjamah - Hazrat Shutair Bin Shakl Jo Ki Hazrat Ali Ke Shagirdon Me Hain, Logon Ko Ramzan Me 20-Rakat Taraveeh Aur 3-Vitr Padhate The. (السنن الكبرى للبيهقى، ج-٢، ص-٩٦)
🔮 Hazrat Suwed Bin Gaflah رحمه الله تعالى Bade Taba'ee Hain Aapne Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله عنهم Ki Ziyarat Ki Hai Aur Unse Riwayat Lee Hai Aapke Bare Me Hazrat Abul Khaseeb Farmate Hain,
كان يومنا سويد بن غفلة فى رمضان فيصلى خمس ترويحات عشرين ركعة "Tarjamah - Hazrat Suwed Bin Gaflah Hame Ramzan Me 5 Tarvihe Yani 20-Rakat Taraveeh Padhate The. (السنن الكبرى للبيهقى، ج-٢، ص-٤٩٦)
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Saha*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment