Barkat E Ramadan 25
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-25 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"20-Rakat Taraveeh Aur 4 Imam"
🔮 Sahabe Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Wa Taba'eene Izam رحمهم الله تعالى Wa Mujtahidine Kiram Auliyae Islam Sab 20 Ya Usse Za'id Ke Qayel Hain 8 Rakar Le Qayel Wala Hame Door Door Tak Mash'hoor Islami Shaksiyaton Koi Nazar Nahi Aata.
🕌 20 Par Ijma Wa Tawatur Hai Magar Kuch Ulma Isse Bhi Ziyadah Ke Qayel Hain Jaisa Ki Tirmizi Sharif Ki Is Riwayat Se Pata Chalta Hai, واختلف اهل العلم فى قيام رمضان فرأى بعضهم ان يصلى احدى واربعين ركعة مع الوتر وهو قول اهل المدينة والعمل على هذا عندهم بالمدينة وأكثر اهل العلم على ما روى عن على وعمر وغيرهما من اصحاب النبى صلى الله عليه وسلم عشرين ركعة وهو قول الثورى وابن المبارك والشافعى وقال الشافعى وهكذا ادركت ببلدنا بمكة يصلون عشرين ركعة
Tarjamah - Ahle Ilm Ne Qayame Ramzan (Taraveeh) Ke Bare Me Ikhtelaf Kiya Hai, Unme Se Baaz Vitr Samet 41 Ra'akton Ke Qayel Hain, Yani Ahle Madinah Ka Qaul Hai Aur Isi Par Unka Amal Hai, Aur Ziydah Tar Ahle Ilm 20 Rakaton Ke Qayel Hain Jo Hazrat Ali, Hazrat Umar In Dono Ke Ilawah Digar As'habe Nabi صلى الله عليه وسلم Se Manqool Hai, Yahi Sufyan Soori Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Shafai Ka Qaul Hai, Aur Imam Shafai Ne Farmaya Mein Ne Apne Shaher Makka Me Paya Hai Ki Wo 20 Rakat Taraveeh Padhte Hain. (ترمذى شريف، ج-١، ص-٩٩)
🕌 Ahle Madinah 36 Rakat Taraveeh Aur 5 Rakat Vitr Ke Qayel The, Piche Jo Ahle Madinah Ki Taraf 36 Rakat Taraveeh Ke Qayel Hone Ka Qaul Guzra Wo Vitr Ko Chhod Kar Tha, 5 Rakat Vitr Mila Kar Wo 41 Rakaton Ke Qayel The Pehli Aur Is Riwayat Me Koi Tazad Nahi Hai. (فتح البارى، ج-٤، ص-٢٥٣)
👉🏼 Gaur Kijiye Imam Tirmizi رحمه الله تعالى Ne Kai Hazraat Ke Naam Ginwa Diye, Inme Se Koi Bhi 8 Ka Qayel Nahi Sab 20 Ya Usse Ziydah Hi Ke Qayel Hain.
🚫 Gair Muqallideen Aur Deobandiyon Ke Shaikhul Islam Ibne Taiymiyah Hambali Ne Bhi 20 Rakat Hi Ko Sunnat Aur Sahi Qarar Diya Hai Wo Likhte Hain, فانه قد ثبت ان ابى بن كعب كان يقوم بالناس عشرين ركعة فى قيام رمضان ويوتر بثلاث فرأى كثير من العلماء ان ذالك هوالسنة لانه اقامه بين المهاجرين والأنصار ولم ينكره منكر
Tarjamah - Ye Baat Sanade Sahi Se Sabit Hai Ki Hazrat Ubai Bin Ka'ab Logon (Sahaba Wa Taba'een) Ko Ramzanul Mubarak Me 20-Rakat Taraveeh Aur 3 Vitr Padhate The, Lihaza Bahot Saare Ulma Isi Ko Sunnat Qarar Dete Hain, Kyu Ki Hazrat Ubai Bin Ka'ab Ne 20 Rakat Taraveeh Hazraate Muhajireen O Ansaar Ki Maujudgi Me Padhai Thi'n Aur Kisi Ne Bhi Inkar Nahi Kiya. (فتاوى ابن تيمية، ج-٢٣،، ص-١١٢)
🔰 Garaz Ki Jo Mamool Hazrat Umar Ke Daur Se Chala Wo Hunooz Chala Aaraha Hai Ummat Ke Sabhi Auliya Ulma Muhaddiseen Mujtahideen Mufassireen Ne Is Par Amal Kiya Hai, Aur Ye Masla Ijama'ee Ho Gaya Hai, Ab Isse Farar Ki Koi Surat Nahi.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment