🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 20 RIKAAT TARAVEEH KI DALEEL 🥀*
*PART 04*
*20 RIKAAT TARAVEEH KO BIDDAT KAHNE WAALE KHUD BIDDATI H KYUNKI 20 RIKAAT TARAVEEH SAHIH HADEES SE SABIT H OR 8 RIKAAT PADHNA SUNNAT KE KHELAAF OR BIDDAT H*
*HADEES 4*
*Imam Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij. Farmaate hai ke*
أَخْبَرَنَا أَبُو طَاهِرٍ الْفَقِيهُ قَالَ: أَخْبَرَنَا أَبُو عُثْمَانَ الْبَصْرِيُّ قَالَ: حَدَّثَنَا أَبُو أَحْمَدَ مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْوَهَّابِ قَالَ: أَخْبَرَنَا خَالِدُ بْنُ مَخْلَدٍ قَالَ: حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ قَالَ: حَدَّثَنِي يَزِيدُ بْنُ خُصَيْفَةَ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ قَالَ: «كُنَّا نَقُومُ فِي زَمَانِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ بِعِشْرِينَ رَكْعَةً وَالْوِتْرِ»
Sanad :
*Imam Behaiqi Rh. — > Abu Taahir al Faqi Rh. — > Abu Usmaan al Basri Rh. — > Abu Ahmed Muhammed bin Abdul Wahab Rh. — > Khalid bin Makhlad Rh. — > Muhammed bin Jafer Rh. — > Yazeed bin Khusaifa Rh. — > Saa-ib bin Yazeed Rdh.*
*Matan :*
*Hazrat Saa-ib bin Yazeed Rdh. Farmaate hai ke Hum Hazrat Umar Rdh. ke Zamaane me 20 Rakaat (Taraaweeh) aur Witr Pardhte the.*
*(Maarifatus Sunan wal Aasaar : Jild 4 : Safa 42, Hadees no 5409)*
*Is Sanad ke Ruwaat ki Tafseel Yeh hai :*
1 – Imam Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij. Mashoor SIQA Muhaddis hai. (Taarekh ul Islaam)
2 – Abu Taahir al Faqi Rh. Al Mutawaffa 410 Hij. ka Naam Muhammed bin Muhammed bin Mahmish Abu Taahir al Faqi Al Ziyaadi Rh. hai.
Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. ne Aap Rh. ko Faqi, Allama, Al Qudma, Shaykh e Khurasaan aur Naisapur ke Ashaab ul Hadeees ke IMAM Qaraar diya hai.
(Taarekh ul Islaam : Jild 9 : Safa 157)
(Seer Alamun Nubula :Jild 17 : Safa 276)
Scan Page : Taarekh ul Islaam
Scan Page : Seer Alamun Nubula
Imam Subki Rh. Al Mutawaffa 771 Hij. Farmaate hai ke Shaykh Abu Taahir al Ziyaadi Rh. Apne Zamaane me Naisapur ke Imam ul Muhaddiseen wa Fuqaaha the.
(Tabqaat ush Shafa’iyya : Jild 4 : Safa 198)
Scan Page :
Imam Khaleeli Rh. Aap ke bare me Farmaate hai ke Aap Muttafiqa Taur par SIQA hai. (Al Irshaad Lil Khaleeli : Jild 3 : Safa 862)
Scan Page :
Lehaaza Aap Rh. SIQA hai.
3 – Abu Usmaan al Basri Rh. Jinka naam Amr bin Abdullah bin Dirham Abu Usmaan al Basri Rh. hai.
Imam Zehbi Rh. Aap Rh. ko Imam, Al Qudma, Zaahid, Saaleh aur Musnad e Naisapur Qaraar dete hai.
(Seer Alamun Nubula : Jild 15 : Safa 364-365)
(Tazkiratul Huffaaz : Jild 3 : Safa 45)
Scan Page : Seer Alamun Nubula
Scan Page : Tazkiratul Huffaaz
Neez, Imam Behaiqi Rh., Imam Ziyauddin Maqdasi Rh., Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. ne is riwayat ko SAHEEH aur HASAN Qaraar diya hai.
(Ma’arifatus Sunan wal Aasaar : Jild 3 : Safa 15, Hadees no 3845)
(Al Mukhtaara : Jild 6 : Safa 47, Hadees no 2018)
(Al Amaali ul Mutlaqa : Safa 77-78)
Scan Page : Ma’arifatus Sunan wal Aasaar
Scan Page : Al Mukhtaara
Scan Page : Al Amaali ul Mutlaqa
Aur Muhaddiseen ka Kisi riwayat ko SAHEEH ya HASAN Kehna, Ghair Muqallideen ke Nazdeek Us riwayat ki HAR HAR Raavi ki Tauseeq hoti hai.
(Namaz me Haat Kahan Bandhe : Safa 17)
(Anwaar ul Badr : Safa 27)
Scan Page : Namaz me Haat Kahan Bandhe
Seene pe hath bandhna Zubair Ali Zai_Page16
Scan Page : Anwaar ul Badr
seene par haat bandhna kifayatullah_Page27
Maloom huwa ke Abu Usmaan al Basri Rh. SIQA hai.
4 – Imam Abu Ahmed Muhammed bin Abdul Wahab Rh. Sunan Nasaai ke Raavi hai aur SIQA Aarif hai. (Taqreeb : Raqm 6104)
Scan Page :
5 – Khalid bin Makhlid Rh. Al Mutawaffa 213 Hij. Saheehain ke Raavi hai aur Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm 1677)
Scan Page :
6 – Muhammed bin Jafer al Ansaari Rh. bhi SAHEEHAIN ke Raavi hai aur SIQA hai. (Taqreeb : Raqm 5784)
Scan Page :
7 – Yazeed bin Khusaifa Rh. bhi SIQA hai. (Taqreeb : Raqm 7738)
Scan Page :
8 – Saa-ib bin Yazeed Rdh. Al Mutawaffa 91 Hij. Sahaabi e Rasool hai. (Taqreeb)
Maloom huwa ke is riwayat ke Saari Raavi SIQA hai aur Iski SANAD SAHEEH hai.
Note :
Is riwayat ki Ek aur Sanad bhi hai, Neez Ibn Khusaifa Rh. ki is riwayat ko Kai Muhaddiseen ne SAHEEH Qaraar diya hai aur Saat Saat Ulama e Ahlehadees ne bhi Is riwayat ki Tas-heeh ki hai aur SAHEEH Qaraar diya hai.
*LEHAZA YE REWAYAT SAHIH H*
*👉 ISKI TAFSEEL PART 5 ME AYEGI INSHA ALLAH*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment