πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄



*πŸ₯€ KITABUSSAUM (ROZA) πŸ₯€*



*πŸ’ PART 19*

*↘ MSJID AL HARAM MEN AITIKAF KE MASAIL*

*➡SAWAAL:-*Mera umre par jane ka irada hai aurr meri ye bhi tamanna hai ke main masjid al haram men ramzan al mubark ke ashra e Akhira men aetekaf baithun to ab dariyaft talab amr yeh hai (1) wahan hotal par ja kr sehri o iftar kar sakte hain jabki khana la kar dene wala koi na ho(2) wahan motakif ke liye jagah makhsus nahi hoti kiya jagah tabdeel kar sakte hain. (3) kiya ayyam e aetekaf men ba kasrat tawaf kar sakte hain. (4) mutakif ke liye haram men wahi pabandiyan hain jo yahan hain?

*✔JAWAB:-*Sab se pehle to yeh samajh lijiye ke aetikaf haram e kaba men kiya jaye, masjid e nabwi men ya apne muhalle ki masjid men, masail o ehkam sharai sab jagah yaksan hain.shar'an puri masjid men mutakif (jae aetekaf) hoti hai, lihaza apko ijazat hai ki puri masjid men jahan jagah mile baith jaen, zarorat ke waqt let jaen, jahan chahen namaz padhen, jahan chahen tilawat o zikr karen, kisi khas jagah ki pabandi nahi hai.kiyon ki baitullah aur mutaf (jae tawaf) bhi "masjid al haram" men shamil hain aur tawaf ibadat hai.is liye ap ayaam e aetkaf men jis qadar tawaf kar saken karen.is se badi sa'adat aur ibadat kiya hogi.jahan tak sehar o iftar ka masla hai to ham ne suna hai wahan iftar ka intezam bht hai agar khuda na khasta agar wahan aisa koi intezam nahi ho sake to phir ap jaen aur hotal se parcel khana khreed kar le aen aur haram e pak men wapas aa kar wahin baith kar khaen, zarurt se zayda harm e pak se bahar na thehren aur kisi se kalam na karen, gusl e wajib ke liye aur qaza e hajat ke liye ap jaen , gusl masnoon ke liye na jaen.

*πŸ“šTafheem al masail J-1 S-198-199*



πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT πŸ”΄*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27