🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Ulama E Ahnaaf Aur Rakate Taraveeh 🥀*



      ❖ Post:-19 ❖

بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

Allama Haskafi علیہ الرحمہ Taraveeh Ki 20-Rakaat Ke Hawale Se Farmate Hain-

وهى عشرون رکعة حكمة مساوات المكمل للمكمل 

Tarjamah- Taraveeh 20-Rakate'n Hain Aur 20- Ki Hikmat Ye Hai Ki Mukammal Yaani Taraveeh Mukammal Yaani Fara'iz Ma'al Witr Ke Barabar Ho Jaye'n.

[درمختار، جلد-١، صفحہ نمبر-٤٧٤]

Fajr Ki Farz 2, Zohar Ki Farz 4, Asr Ki Farz 4, Maghrib Ki Farz 3, Isha Ki Farz 4, Aur Wajibul Witr 3 Kul 20 Hui, Yaani Faraiz O Wajib Raat O Din Me 20 Hain To Taraveeh Bhi 20 Hi Honi Chahiye.

Gair Muqallideen Ki Baat Na Quran Se Banegi Na Hadees Se Aur Naahi Fuqha Ke Yahan Inke Liye Kuch Hai, Ba'wajude Ki Ye Be"Sharm Firqah 8-Rakat Taraveeh Ka Masnoon Hona Fuqha E Ahnaaf Ki Taraf Mansoob Karta Hai Jab Ki Wo Iske Qayel Nahi.

Pyare Sunni Jannati Barelvi Bhaiyon Hadees Me Is Firqe Ke Hawale Se Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaya Tumhare Saamne Jhuti Hadise'n Layenge, Sochiye Jo Log Hadees Jhuti La Sakte Hain Kya Wo Ulama Aur FUQHA Ki Taraf Jhut Mansoob Nahi Kar Sakte?

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27