🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Ulama E Ahnaaf Aur Rakate Taraveeh 🥀*



      ❖ Post:-15 ❖

بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

Imam Abul Hasan Fakhruddin Hasan Bin Mansoor Bin Abdul Azeez Al'farghani Al"Awzajandi Al'maroof Qaazi Khan رحمہ اللہ تعالٰی (Laqab- Shamsul Aimmah, Faqihun Nafs, Aur Fakhrul Islam Hai, Wafat- 593-Hijri Me Hui) Awzajand Farghana Ke Qareeb Asfhaan Ke Atraaf Me Eik Qasba Hai Wahi'n Se Aapka Ta'alluq Hai, Bilaade Mashriq Me Hanfiyah Ke Bade Fuqha Me Aapka Shumar Hota Hai.

Fatawa Qazi Khan Jise Fatawa Khaniyan Bhi Kehte Hain Aap Hi Ki Kitab Hai Jo Aaj Kal Fatawa Alamgeeri (Fatawa Hindiyah) Ke Sath Shaye Hoti Hai (Attached Aati Hai) Qaazi Khan Fiqhe Hanfi Me Bahot Mustanad Samjhi Jati Hai Qaazi Khan Ki Khususiyat Ye Hai Ki Isme Rajeh Qaul Ko Pehle Naql Kiya Gaya Hai.

Imam Awzajandi Yani Qazi Khan رحمہ اللہ Taraveeh Ki 20-Rakat Ke Hawale Se Likhte Hain-

مقدار التراويح عند اصحابنا والشافعى ما روى الحسن عن ابى حنيفة قال القيام فى شهر رمضان سنة لا ينبغى تركها يصلى لاهل كل مسجد فى مسجدهم كل ليلة سوى الوتر عشرين ركعة خمس ترويحات بعشر تسليمات يسلم فى كل ركعتين وقال مالك ان يصلى ستة وثلثين ركعة سوى الوتر لما روى عن عمر وعلى انهما كان يصليان ستة وثلاثين ولنا روى عن ابن عباس قال كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلى عشرين ركعة فى شهر رمضان ثم كان يوتر بثلث بعدها خص الرمضان بالذكر فالظاهر انه ارادبه التراويح وهو المشهور من الصحابة والتابعين رضوان الله عليهم اجمعين وما روى مالك غير مشهور

Tarjamah- Taraveeh Ki Miqdar Hamare As'haab Aur Imam Shafai رحمہ اللہ Ke Nazdeek Wahi Hai Jo Hasan Bin Ziyad Ne Imame Azam Abu Hanifah رحمہ اللہ تعالٰی Se Naql Kiya Hai Ki Ramzan Me Qayam (Taraveeh Padhna) Sunnat Hai Iska Tark (Chhod Dena) Theek Nahi, Har Masjid Walon Ke Liye Unki Masjid Me Har Raat Witr Ke Ilawah 20-Rakate'n Padhi Jayen, 5-Tarvihe 10-Salamo'n Se, Har 2-Rakat Par Salam Phere, Aur Imam Malik رحمہ اللہ Ne Farmaya Witr Ke Ilawah 36-Rakaat Kyun Ki Hazrat Umar N Hazrat Ali رضی اللہ عنہما Se Marwi Hai Ki Wo Dono Hazraat 36 Rak'aten Padhte The, Aur Hamari (Ahnaaf N Shawafe Ki) Daleel Wo Riwayat Hai Jo Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہما Se Marwi Hai Ki Rasulullah صلی اللہ علیہ وسلم Ramzan Ke Mahine Me 20-Rakate'n Aur Uske Bad 3 Witr Padhte The, Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہما Ne Ramzan Ka Naam Khas Liya Hai, Lihaza Zahir Hai Ki Isse Taraveeh Ko Hi Khas Murad Liya Hai, Aur 20-Rak'aten Sahaba E Kiram رضوان اللہ علیہم اجمعین Aur Taba'een Izam علیہم الرحمہ Se Bhi Mash'hoor Hain, Aur Jo Imam Malik رحمہ اللہ Ne Riwayat Kiya Wo Gair Mash'hoor Hai.

[فتاوی قاضی خان، جلد-١، صفحہ نمبر-١١٠]

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27