Aalam E Islam Ko Shab E Qadr Mubarak Ho

πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄



*πŸ₯€Aalam E Islam Ko Shab E Qadr Mubarak Ho πŸ₯€*



πŸ‘‰ *MASLAKE AALA HAZRAT GROUP Ke Tamam Members Ko Shab E Qadr Mubarak Ho Ye Wo Muqaddas Raat Hai Jise ALLAH Rabbul Aalameen Ne Qur'an-E-Kareem Me 1000 Mahino Se Afzal Bataya Shabe Qadr Me Hame Kis Tarah Ibadate Karni Chahiye Ispar Ye Post Lkihi Hai*

*Shab-E-Qadar Ki Ibadat*

*• Jab Masjid Me Dakhil Ho To Is Tarah Niyat Karke Phir Dakhil Ho "Nawaytu Sunnatul Etikkaf" Jab Tak Aap Masjid Me Rahenge Insha ALLAH Aapke Naam-E-Aamal Me Farishte Nekiya Likhte Rahenge. Islami Behene Ghar Me Ek Jagah Mukarrar Karle Ibadat Ke Liye Aur Niyat Kar Us Jagah Ibadat Kare*
*Filhal Hamare Mulk Me Lockdown Ki Wajahse Masjid Me Jana Munasib Nahi Hai Lihaza Apne Gharon Me Ibadat Kare."*

*• Qur'an-E-Kareem Ki Tilawat Kare*

*• 21 Martaba Surah Qadr Ki Tilawat Kare. Is Raat Me Sure Qadr Ki Tilawat Ki Badi Fazilate Hai*

*• 21 Martaba Surah Ikhlas Ki Tilawat Kare*

*• Jinki Qaza Namaze Reh Gayi Hai Wo* *Qaza-E-Umari Ada Kare. Jinki Namaz Qaza Na Ho Wo Nawafil Padhe*

*• Dua-E-Shabe Qadr Kasrat Se Padhe*

*"Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul Afwa Wa Fa'afu Anni."*

*• Durood-E-Pak Kasrat Se Padhe.*

*• Astagfar Ki Tasbeeh Padhe*

*• Aayat-E-Kareema Ki Tasbeeh Padhe*

*• Ye Kalme Kasrat Se Padhe:*
*"Subhanallahi Wabihamdihi Subhanallahil Azeem"*

*Ye Kalme ALLAH Rabbul Aalameen Ko Bohot Pasand Hai* *Hadees-E-Pak Me Hai Ke Roze Mehshar Mizaan Par Ye Kalme Wazani Honge Aur Padhnewale Ke Naam-E-Aamal Me Nekiyo Ke Pahad Honge. In sha ALLAH*

*πŸ‘ AAP SABHI HAZRAAT SE GUZARISH HAI IS GUNHAGAAR FAQEER KO BHI APNI DUA ME YAAD RAKKHE*



πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT πŸ”΄*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27