Lailatul Qadr Ka Bayaan
ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ Lailatul Qadr Ka Bayaan π₯*
Mazeed Nishaniya
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•
Hazrate Sayyeduna Imam Abdul Wahab Sha’arani (Rahmatullahi Ta’ala Alai) Lailatul Qadr Ki Alamat Bayaan Karte Huwe “Kashful Gumma” Mein Tehreer Framte Hai:
Ye Raat Nihayat Hi Saaf o Saffaaf Hoti Hai! Ismein Na Zyada Garmi Hoti Hai Na Sakht Sardi! Mausam Bhi Is Raat Mu’atdal Ho Jaata Hai! Na Taiz o Tand Hawa Chalti Hai Na Hi Badla Chaye Hote Hai, Is Raat Barish Bhi Nahi Hoti Hai! Is Raat Shayaateen Sitaro Se Nahi Maare Jaate! Is Raat Ki Subh Ko Suraj Bagair Shuaa’aKe Tulu’a Hota Hai!
Hamein Alamati Kyu Nazar Nahi Aati?
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•
Shab e Qadr Ki Mutaddad Alamat Ko Zikr Guzra! Hamare Zehan Mein Yeh Suwal Ubhar Sakta Hai Ki Hamari Umr Ke Kaafi Saal Guzre Har Saal Shab e Qadr aati Rehti Hai! Kya Wajah Hai Ki Hamein Kabhi Iski Alamat Nazar Nahi Ati! Iske Jawab Mein Ulamaye Kiraam Farmate Hai, In Baaton Ka Ilm Har Ek Ko Nahi Ho Sakta! Kyuki Inka Ta’alluk Kashfo Karamat Se hai! Isey To Wahi Dekh Sakta Hai Jisko Basirat (Yaani Qalbi Nazar) Ki Ne’amat Hasil Ho! Har Waqt Masiyat Ki Nuhoosat Mein Lat Pat Rehne Waala Gunaahgaar Insaan In Nazaro Ko Kaise Dekh Sakta Hai?
“Aankh Wala Teri Joban Ka Tamasha Dekhe
Deed-ae-Kaur Ka Kya Aaae Nazar Kya Dekhe!”
ALLAH (ο·») Ne Apni Mashiyat Ke Tehat Shab e Qadr Ko Paushida Rakha Hai! Lihaza Hamein Yakeen Ke Saath Nahi Maloom Ki Shab e Qadr Kaun Si Raat Hoti Hai!
Taq Raaton Mein Dhundo
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•
Ummul Momineen Hazrate Sayyed’tuna Aaisha Siddiqa (Radi’Allahu Ta’ala Anha) Kehti Hai Ki Mere Sartaj, Sahibe Me’araaz (ο·Ί) Ne Irshaad Farmaya, Shab e Qadr Ko Ramzanul Mubarak Ke Aakhiri Ashrah Ki Taq Raaton Mein Yaani 21wi, 23wi, 25wi, 27wi Aur 29wi Raaton Mein Talash Karo
*π Bukhari Wa Muslim*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment