Brakat E Ramadan 04

πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄



*πŸ₯€ BARKAAT E RAMZAN πŸ₯€*



                     ❖ Part:-04 ❖
                         


Ψ¨Ψ³Ω… Ψ§Ω„Ω„Ω‡ Ψ§Ω„Ψ±Ψ­Ω…Ω† Ψ§Ω„Ψ±Ψ­ΩŠΩ…
Ψ§Ω„Ψ΅Ω„ΩˆΨ© ΩˆΨ§Ω„Ψ³Ω„Ψ§Ω… ΨΉΩ„ΩŠΩƒ يا Ψ±Ψ³ΩˆΩ„ Ψ§Ω„Ω„Ω‡ ο·Ί

🌾 "Roze Ki Tareef"

✨ Shariat Ki Istelah Me Roza Kehte Hain Musalman Ka Ibadat Ki Niyyat Se Subhe Sadiq Se Suraj Doobne Tak Apne Aapko Qasdan (Jante Huye) Khane Peene Aur Jima (Sohbat) Se Baaz Rakhna.

πŸ›‘ Aurat Ko Roze Ke Liye Haiz O Nifas (M.C & Bachcha Paida Hone Ke Baad Jo Khoon 40 Din Tak Ata Hai) Se Pak Hona Shart Hai.

✏Mas'ala: Roze Ke 3 Darje Hain,

1- Aam Logo Ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur Jima Se Rokna.

2- Khas Logo Ka Roza Kaan Aankh Zuban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna.

3- Khasul Khas Logo Ka Roza Ki Allah Ke Siwa Apne Ko Sab Se Juda Karna Aur Apni Tamam Tawajjoh Ko Sirf Allah Ki Taraf Lagana. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-966}

✏Mas'ala: Aurat Haiz O Nifas Wali Thi Usne Raat Me Niyyat Ki Aur Subhe Sadiq Se Pehle Haiz O Nifas Se Paak Ho Gai To Roza Sahi Ho Gaya. {Bahar-E-Shariat, Hissa -5, Page-969}

✏Mas'ala: Sehri Khana Bhool Gaya Aur Der Se Utha To Ab Zahwe Kubra (Suraj Jab Theek Sar Pe Aajaye Aur Admi Ka Saya Uske Pairon Me Aajaye Use Zawal Ya Zahwe Kubra Aur Nisfun"Nahare Shari Kehte Hain) Se Pehle Niyyat Kar Le. Zahwe Kubra Niyyat Ka Waqt Nahi Agar Khas Zahwe Kubra Ke Waqt Niyyat Ki To Roza Na Hua. {Durre Mukhtar, Volume-3, Page-394}

✏Mas'ala: Jis Tarah Aur Jagah Bataya Gaya Ki Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Zuban Se Kehna Shart Nahi Yahan Bhi Wahi Murad Hai, Magar Zaban Se Keh Lena Mustahab (Achcha) Hai, Agar Raat Me Niyyat Kare To Yun Kahe. "Niyyat Ki Mai Ne Allah Ke Liye Is Ramzan Ka Farz Roza Kal Rakhuga" Agar Din Me Niyyat Kare To Yun Kahe, "Mai Ne Niyyat Ki Allah Ke Liye Aaj Ramzan Ka Farz Rakhuga" Niyyat Ke Alfaz Arbi Me Padhe. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-968}

✏Mas'ala: Din Me Niyyat Karte Waqt Ye Kahe Ki Mai Subah Se Rozedar Hun Agar Ye Niyyat Kare Ki Ab Se Hun To Roza Na Hua. {Bahar-E-Shariat, Volume-5, Page-968}

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*πŸ–Š Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori*



πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT πŸ”΄*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27