Barkat E Ramadan 09
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-09 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"8 Aur 20 Rakat Taraveeh Par Nafees Bahes"
Ramzan Ka MUQADDAS Mahina Aalame Ruhaniyat Aur Meraje Insaniyat Ka Mausame Bahar Hai.Iski Khas Ibadaton Me Din Ka Roza Aur Raat Ka Qayam (Yani Namaze Taraveeh) Badi Ahmiyat Ki Hamil Hai. Is Mahine Ki Barkaton Ka Ye Aalam Hai Ki Isme Eik Nafl Ka Sawab Farz Ke Barabar Aur Eik Farz Ka Sawab 70 Farz Ke Barabar Kar Diya Jata Hai.
Huzoor Kahtamul Ambiya, Awwalul Ambiya, Afzal Ambiya, Imamul Ambiya, Nabiyul Ambiya Yani Hamare AAQA O MAULA Janabe Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Is MUBARAK Mahine Me Kasrat Se Ibadat Farmate Is Mahine Ki Aamad Se Pehle Iski Fazilat O Ahmiyat Ko Sahaba Se Batate (Jaisa Ki Piche Hazrat Salman Farsi Ki Riwayat Me Guzra) Huzoor Alaihissalam Khud Bahot Ibadat Farmate Aur Apne As'hab Ko Iski Sakht Talqeen Farmate.
Chunanche Hazrat Ummul Momineen Sayyedah Aisha Siddiqa Farmati Hain.
📚 HADEES: Jab Ramzan Ka MAHINA Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Kamar (Himmat) Kass Lete, Aur Apne Bistar Par Tashrif Na Late, Yahan Tak Ki Ramzan Guzar Jata. {شعب الایمان للبيهقي، فضائل شهر رمضان، جلد-3، صفحہ-310}
Hazrat Ummul Momineen Sayyedah Aisha Siddiqa Radiallahu Anha Aakhri Ashre Ke Bare Me Farmati Hain,
📚 HADEES: "Huzoor صلى الله عليه وسلم Akhri 10 Dino Me Jo Koshish Farmate (Ibadat Ke Silsile Me) Wo BAQI Dino Me Nahi Farmate. {صحيح مسلم، باب الاجتهاد في العشر الأواخر......إلخ، جلد-1، صفحہ-382}
Bhala Sochiye Allah Ke Mehboobe Azam صلى الله عليه وسلم Jinke Sadqa O Taufail Allah Ne Sab Kuch Banaya Jinki Riza Aur Khushi Allah Ki Riza Aur Khushi Hai Wo To Is Maahe Kareem Me Mahina Bhar Raat O Din Apne Rabbe Kareem Ki Ibadat Karen Aur Hum Gunaho Ke Pahad Aur Paap Ke Putle Is Mahine Ki Qadr Na Kare.????
Is Maah Me Digar Mahino Se Ibadato Ke Silsile Badha Diye Jate Hain, Jaise Roza Taraveeh Sehro Iftar Sadqaat O Khairat Shabe Qadr Ka Inaam Ye Pura Mahina Hi Aisa Hai Ki Isme Kasrat Se Ibadat Kee Jaye.
Magar Afsos Musalmano Me Eik Aisi Jamat Bhi Paida Hui Jo Amal Me Kotaah Deen Ke Usool O Zawabit Aur Nizam Ke Badalne Pe Tuli Hai.
Wo Deen Ko Aasan Kar Rahe Hai, Quran O Hadees Ka Naam Lekar Logo Ko Mazhab Ki Pabandiyon Se Azad Kiya Ja Raha Hai Apne Ko Ahlehadees (Hadees Wala) Kehte Hain Magar Sach Ye Hai Ki Ye Log Ahlehugees (Har Waqt Gandagi Karne Wale) Hain.
Jis Chiz Pe Amal Na Karna Ho Uske Bare Me Kehte Hain Ki Ye Sahi Hadees Se Sabit Nahi Aur Isi Tarah Hadis O Ka Sunnato Ka Ijmae Ummat Ka Aur Buzrugane Deen Ke Mamulaat Ka Inkar Kiya Ja Raha Hai.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment