Barkat E Ramadan 15

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-15 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

"TADADE RAKAT TARAVEEH"

📌 Eik Aur Riwayat Gair Muqallideen Sahi Ibne Khuzaima Aur Sahi Ibne Habban Se 8 Rakat Taraveeh Par Pesh Karte Hain.

📚 HADEES: Hazrat Jabir Bin Abdullah Se Marwi Hai, صلى بنا رسول الله صلى الله عليه وسلم فى رمضان ثمان ركعات الوتر Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ne Hame Ramzan Me 8 Rakaten Aur 3 Witr Padhai. Hazrat Jabir Ki Is Riwayat Me Sirf Ek Raat Padhane Ka Zikr Hai Jaisa Ki Isi Riwayat Me Aage Hai. فلما کانت الليلة القابلة اجتمعنا فى المسجد رجونا ان يخرج فيصلى بنا فاقمنافيه حتى اصبحنا فقلنا يا رسو الله رجونا ان تخرج فتصلى بنا فقال انى كرهت او خشيت ان يكتب عليكم الوتر Pas Jab Agli Raat Hui To Hum Sab Phir Jama Huye Is Ummid Par Ki Huzoor Niklenge Aur Hame (Kal Ki Tarah) Namaz Padhayenge Pas Hum Subah Tak Wahin Rahe Hum Ne Arz Ki (Subah Ke WAQT) Aye Allah Ke Rasool Hame Ummid Thi Ki Aap Niklenge Aur Hame Namaz Padhyenge Aapne Farmaya Mujhe Khauf Hua Ki Kahi'n Tum Par Witr Farz Na Ho Jaye. (صحيح ابن خزيمة، ج-٢، ص-١٣٨)

👉🏼 Awwal To Ye Hadees Ek Raat Namaz Ki Hai Jab Ki Taraveeh Pure Maah Padhi Jati Hai. Dusri Baat Is Riwayat Me 3-3 Rawi Za'eef Hain, Ye Hadees Hazrat Jabir Bin Abdullah Se 2 Sanadon Se Aati Hai.

1= Is'haq, Abu Rabee, Yaqoob Qummi, Esa Bin Jariyah Hazrat Jabir Bin Abdullah.

2= Muhammad Bin Humaid Razi, Yaqoob Qummi, Esa Bin Jariyah, Hazrat Jabir Bin Abdullah. Ye Hadees Gair Muqallideen Kisi Bhi Kitab Se Dikhayen Uska Silsilae Sanad Inhi 2 TARIQON Se Milega.

⛏ Hazrat Jabir Bin Abdullah Se Is Hadees Ko Riyawat Karne Ka Dawa Karne Wale Esa Bin Jariyah Hai Aur Esa Ke Bare Me Khud Ibne Khuzaima Ke Hashiye Par Hai,

عيسى بن جاريه فيه لين Esa Bin Jariyah Me Kamzori Hai. ( صحيح ابن خزيمة، ج-٢، ص-١٣٨)

👉🏼 Jab Esa Bin Jariyah Kamzoor Nikla To Puri Riwayar Hi Kamzor Hui Aur Is Hadees Ki Dono Sanado Me Esa Aata Hai. Aur Padhiye Digar Aimmae Hadees Is Esa Ke Bare Me Kehte Hain,

💠 Hazrat Yahya Bin Moin رحمه الله تعالى Farmate Hain, ليس بذاك عنده مناكير Wo (Esa) Qawi Nahi Hai Uske Pas Aksar Munkar Riwayaten Hain.

⚜ Hazard Imam Abu Dawood O Nasai Kehte Hain,

منكر الحديث Wo Mukarul Hadees Hai.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27