Barkat E Ramadan 16
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-16 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"TADADE RAKAT TARAVEEH"
⚜ Imame Nasai رحمه الله تعالى Farmate Hain متروك Wo Matrukul Hadees Hai Yani Uski Hadison Ko Tark Kiya Jata Hai.
🔰 Imam Saaji Aur Aqeel رحمهم الله تعالى Farmate Hain Wo ضعفاء Kamzor Logon Me Shamil Hain.
Imam Adi رحمه الله تعالى Kehte Hain Uski Hadees Mehfooz Nahi Hain. (تهذيب التهذيب، ج-٨، ص-٢٠٧،، ميزان الاعتدال، ج-٢،ص-٣١١)
👉🏼 Ye Kul 6 Aimmahe Hadees Hain Jinho Ne Esa Bin Jariyah Par Sakht Jarhen Ki Hain, Itna Hi Nahi Balki Imam Zahbi Allama Hajar Asqalani Ne Bhi Ise Munkarul Hadees Kaha Hai.
🚫 Is Riwayat Ke Dusre Rawi Yaqoob Qummin Ko Bhi Aimmahe Hadees Ne Zaeef Jhuta Munkarul Hadees Kaha Hai Tafseel Ki Yahan Gunja'ish Nahi Hai.
‼ Ajeeb Baat Hai Quran Aur Sahi Hadees Par Chalne Ke Dawedar Khud Zaeef Aur Mardood Riwayaton Se Kaam Chalate Hain❔❓
🚫 Gair Muqallideen Ke Bade Aalim Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri Likhte Hain,
"Munkarul Hadees Hona Aadmi Ka Aisa Wasf Hai Jiski Bina Par Uski Hadees Qabile Tark Ho Jati Hai" (ابكار المنن، صفحه-١٩١)
"Rakate Tarveeh Ka Muhaqiqana Jayezah" "TARAVEEH KI MUTAAIYYAN RAK'ATEN"
📌 Is Baat Ko Achche Se Zahen Nasheen Kar Len Ki Sarkare 2 Aalam صلى الله عليه وسلم Se Tarveeh Ki Na 8 Sarahat Se Sabit Hai Aur Na 20 Jo 2no Qism Ki Riwayaat Hain Wo Zo'af Aur Ehtemaal Se Khali Nahi.
✨ Imam Jalaluddin Suyuti رحمه الله تعالى Farmate Hain, ان العلماء اختلفوافى عددها ولو ثبت ذالك من فعل النبى صلى الله عليه وسلم لم يختلف فيه Ulma Ne Taraveeh Ki Rak'aat Me Ikhtelaf Kiya Hai, Aur Agar Ye (Taraveeh Ki Fixed Rakaten) Huzoor Ke Amal Se Sabit Hoti To Ye Ikhtelaf Na Hota. (تحفة الاخيار ص-٤٢)
⚜ Allama Tajuddin Subki Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain, اعلم انه لم ينقل كم صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فى تلك الليالى هل هو عشرون اوأقل Tum Ko Maloom Hona Chahiye Ki Rasulullah صلى الله عليه وسلم Se Ye MANQOOL Nahi Ki In Raton Me Kitni Rakaten Padhe'n 20 Ya Kam. (تحفة الاخيار، ص-١٩٦)
Ab Raha Hum 20 Kyun Padhte Hain❔❓
👉🏼 To Beshak 20 Wali Hadees Bhi Zaiful Isnaad Hai Magar Is Amal Ko TAQAT Milti Hai Ijamaye Sahaba Se, Tawatur Se, Ummat Ki 1400 Sala Tareekh Me 20 Hi Par Amal Hota Aaya Hai, Aur Sahaba 20 Hi Rakat Ke Qayel The Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Dekhne Wale Sahaba Hain, Unki Sannaton Par Chalne Wale Sahaba Hain, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Ke Shareh Sahaba Hain, Islam Ke Awwaleen Mukhatib Sahaba Hain, Aur Deen Me Mujtahid Sahaba Ka Amal Bhi Hujjat Hai, Ab Aaiye 20 Rakat Taraveeh Ki Ahdees Aur Amale Sahaba Wa Taba'een Salf O Saleheen Aur Puri 1400 Sala Tareekhe Islam Par Eik Sar Sari Nazar Dalen.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment