Barkat E Ramadan 18

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-18 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ


"TARAVEEH AUR AMALE SAHABA رضوان الله عليهم أجمعين"

🕌 TARAVEEH Ke Silsile Me Chand Baten Jise Zahen Me Khas Taur Se Rakhna Chahiye Taki Aap Gumrahon Ke Fareb Me Na Aa Sake.

1= Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Bhi Padhi Magar Rakaton Ki Had Aur Takeed Sanade Sahi Se Sabit Nahi.

2= Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Bhi Taraveeh Padhte The Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ise Dekh Kar Pasand Farmaya.

3= Ye Taraveeh Ba'jamat Bhi Hoti Thi Magar Eik Hi Imam Ke Piche Nahi Nahi Balki Kai Kai Jamaten Hoti Thi.

4= Taraveeh Ki Ye Jamaten Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Bhi Hoti Rahi Aur Aapke Baad Bhi, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Hone Ki Riwayat Hazrat Abu Hurairah رضى الله عنه Aur Hazrat Solab Bin Abi Malik Qarzi رضى الله عنه Ki Sunane Behaqi Me Maujood Hai, Aur Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه Ke Zamane Me Hone Ka Zikr Hazrat Abdur Rehman Bin Abdul Qari رحمه الله تعالى Ki Riwayat Sahi Bukhari Volume-1, Page-269 Me Aur Hazrat Nofil Bin Ayas Hazli رحمه الله تعالى Ki Asarus Sunan Me Maujood Hai.

5= Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Se Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Zamane Tak Taraveeh Ki Jo Jamat Alag Alag Hoti Thi Hazrat Umar رضى الله عنه Ne Taman Logon Ko Jama Farma Kar Eik Imam Hazrat Ubai Bin Ka'ab رضى الله عنه Ke Piche Kar Diya Jinke Hawale Se Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Ye Irshad Maujood Hai,

أقراكم ابى بن كعب "Tum Me Sab Se Achcha Quran Padhne Wala Ubai Bin Ka'ab Hai".

6= Haan Tamam Riwayaat Par Nazar Dalne Se Ye Nahi Pata Chalta Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Sahaba Kitni Rak'at Taraveeh Padhte The??

👉🏼 Magar 8 To Hargiz Nahi Padhte The Is Liye Ki Hazrat Dawood Bin Haseen رضى الله عنه Ki Moatta Imam Malik Me Ye Riwayat Maujood Hai.

عن داؤد بن الحصين انه سمع الاعرج يقول ما ادركت الناس الاوهم يلعون الكفرة فى رمضان وكان القارى يقرأ سورة البقرة فى ثمان ركعات فاذا قام بها فى اثنى عشرة ركعة رأى الناس انه قد خفف

🔰 Dawood Bin Haseen Se Marwi Hai Ki Hunho Ne Hazrat A'raj Ko Kehte Suna Ki Mein Ne Logon Ko (Sahaba Ko) Paya Ki Wo Ramzan Me Kuffar Par Lanat Bhejte The Aur Imam 8 Rakaton Me Surah BAQRAH Padh Dalta Phir Jab 12wi Ra'kat Me Khada Hota To Logon Ko Lagta Ki Ab Usne Qirat Me Kami Ki. (موطا امام مالك، ص-٤٣)

📌 Is Hadees Ki Sanad Me Kisi Ko Kalaam Nahi Iski Sanad Sahi Hai Aur Isme Sahaba Ka 8 Se Ziydah Padhna Maloom Hua Kyu Ki 8 Tak To Sure BAQRAH Imam Padhta Aur 12 Wi Rakat Me Kuch Kam Karta, Dhiyan Dijiye 12 Ke Aage Padhna Is Me Mana Bhi Nahi Hai Yani 12wi Rakat Me Qirat Kam Hoti Yani Sahaba Isse Bhi Ziydah 20 Padhte The.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27