Barkat E Ramadan 20
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-20 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"TARAVEEH AUR AMALE SAHABA رضوان الله عليهم أجمعين"
8 Wali Hazrat Jabir Bin Abdulullah رضى الله عنه Ki Riwayat Par Kisi Sahabi Ka Amal Nahi Tha Aur Hazrat Abdulullah Bin Abbas Ki 20 Wali Hadees Par Tamam Sahaba Ka Amal Tha.
👉🏼 Na Sirf Sahaba 4ro Imam Tamam Muhaddiseen Fuqha Wa Mujtahideen Wa Jamla Muslimeen Ka Amal Hai Aur Ab Angrezi Paidawar Shariat Bezar Nafs Aur Shaitan Ke Pairokar Gair Muqallideen Ka Inkar Hai.
🔰 Chaliye Eik Aasan Nukta Aapko Samjha Den.
📌 Waise To 8 Rakat TARAVEEH Hai Hi Nahi Magar Khuda Na Khawsta TARAVEEH 8 Ho Jaye Aur Ba'roze Mehshar Jab Allah Ki Bargah Me Namazon Ka Hisab Hoga To 8 Walon Aap Khush Ho Jana Kyun Ki Aap Ki Baat Sahi Thi Magar Sach Batao 20 Wale Kaunse Ghate Me Rahege❓
Hum To 20 Lekar Gaye Hain Kya 8 Rakat 20 Ke Andar Nahi Aati❔❓
Aur 20 Hi Nikli To Aapki Ruswai Kitni Buri Hogi Zara To Socho.
"TARAVEEH 20 PAR SAHABA KA AMAL AUR IJMA"
🚫 20 Rakat Taraveeh Ko Bid'ate Farooqi Keh Kar Manne Se Inkar Karne Wale Gair Muqallideen 8 Rakat To Sabit Kar Hi Nahi Sakte Bas Wo Hame Ye Batayen Ki 8 Ho Ya 20 Ramzan Ke Pure Mahine Me Taraveeh Jamat Se Padhna Ye Kis Ki Sunnat Hai❔❓
👉🏼 Ye Bhi To Hazrat Umar Hi Ki Sunnat Hai, Kya Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Ek Maah Ba Jamat Taraveeh Padhna Gair Muqallideen Sabit Kar Sakte Hain.❔❓
⛏ Ajeeb Baat Hai Ek Sunnat Me Ita'at Ek Me Mukhalifat.
🛡 20 Rakat Taraveeh Padhna Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Hai Jaisa Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas Hain Ki Riwayat Se Sabit Hua, Is Par Tamam Sahaba Ka Amal Aur Ijma Hai Aur Tawatur Se Yahi Chala Aaraha Hai.
🕌 Hazrat Umar, Hazrat Usman, Aur Hazrat Ali رضى الله عنهم Ke Ahde Khilafat Me Taraveeh Ka 20 Rakat Hona Darj Za'il Riwayaton Se Sabit Hai Jo Sab Ki Sab Sanad Ke Lihaz Se Sahi Hai.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment