Barkat E Ramadan 28
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-28 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"20-RAKAT TAVEEH KI 1400-SALA TAREEKH"
🛡 Garaz Ki Ahde Sahaba Se Aaj Tak In MUQADDAS SHERON Me Kabhi 20 Rakat Se Kam Taraveeh Hui Hi Nahi. Agar Hui Bhi Thi To Ziyadh Kam Nahi NASLAN BADA NASLIN QARNAN BADA QARNIN Tawatur Se 20 Rakat Muntaqil Hoti Aarahi Hai Aur Tawature NAQL Khud Hujjate Shari Hai. 1400 Saala Tarikhe Taraveeh Likhne Ke Baad Atiya Saalim Ne Jo Tabserah Aur Nasihat Kee Hai Wo Padhne Se TA'ALLUQ Rakhta Hai, Wo Kehte Hain, Arbi Ka Tarjamah - "Iske Tarikhi Tafsili Tajziyah Ke Baad Hum Qari'een Se Puchna Chahte Hain Ki Masjide Nabwi Me Taraveeh Ke Aagaz Se Ab Tak 1400 Saala Tareekh Me Kya Taraveeh 8 Rakat Padhna Sabit Hai Ya 8 Na Sahi 20 Se Kam Padhna Sabit Hai, Balki Sabit To Yahi Ho Raha Hai Ki In Puri 14 Sadiyon Me Jo Taraveeh Padhi Gai Wo 20 Hai Ya Usse Ziyadh 40 Tak. Is Tarah Hum Qari'een Se Puchna Chahte Hain Maazi Me Kisi Sahabi Ya Aalim Ne Ye Fatwa Diya Hai Ki 8 Se Ziydah Taraveeh Jayez Nahi, Aur Usne Hazrat Aishah Siddiqah رضى الله عنها Wali Hadees Ko Apne Fatwe Ki Bunyad Banaya Hai❔❓
Algaraz In 14 Sadiyon Me Koi Aisa Qabile Zikr Shakhs Hame Nahi Milta Jo Kahe Taraveeh 8 Se Ziyadh Jayez Nahi, Aur Naahi Yeh Sabit Hota Hai Ki Masjide Nabwi Me Ba'jamat Sirf 8 Rakat Taraveeh Padhi Gai Ho, Phir Jo Log 8 Par Zidd Karte Hain Aur Dusron Ko 8 Padhne Ki Dawat Dete Hain, Hum Unse Bas Itna Arz Karenge Ki KHULAFA E RASHIDEEN Ke Zamane Se Aaj Tak Musalmano Ke Marakiz (Makka Aur Madina) Me Jo 20 Rakat Taraveeh Hoti Aarahi Hai Usi Par Chale'n Aur Sabeele Momineen (Musalmano Ke Raste) Se Juda Na Ho'n Aur Unki Mukhalifat Se Bachen" (التراويح اكثر من الف عام،،، ص- ١٠٨،١٠٩)
👉🏼 Ye Kitab Kisi Sunni Hanfi Barelvi Aalim Ki Nahi Balki Hambali Najdi Saudi Aalim Ki Hai Jahan Ke Rupye Paise Se Gair Muqallideen Ki Dukane Chal Rahi Hai, Gair Muqallideen Saudi Ja Kar Salfi (Buzurgon Ke Raste Par Chalne Wala) Bante Hain Lekin Hum Sab Jante Hain Ki Inka Imamo Waliyon Hatta Ki Sahaba Se Tak Ikhtelaf Hai Ye Dogle Log Jo Bholi Bhali Awam Ko Quran O Sunnat Ke Naam Se Dhoka De Rahe Hain Ye Angrezi Fitna Hai Musalman Inke Fareb Me Na Aayen Aur Inki HAQIQAT Ko Pehchane'n.
"MASLAE TARAVEEH ME SANAD KI TEHQEEQ"
🔰 Grammer Aur Ahadees O AMALE Sahaba Wa Taba'een Se Taraveeh Ka 20 Rakat Sunnate Moakkedah Hona Bataya Gaya, Aur Gair Muqallideen Ki Pesh Kardah Ahadees Par Bhi Bit'tafseel Bahes Ki Gai Aur 1400 Saala Islami Tareekh Najdi Aalim Ke Qalam Se Humne Aapke Samne Rakh Dee.
🚫 Aaj Kal Gair Muqallideen Ki Ye Sazish Hai Ki Fuqhae Ahnaaf Se 8 Rakat Taraveeh Sabit Karte Hain Unke AQWAL Ko Tod Marod Kar Apne Mizaj Ke Mutabiq Banate Hain, Hum Uska Bharpur Jayezah Apni KITAB "ULMAE E AHNAAF AUR RAKATE TARAVEEH" Me Lenge.
👉🏼 Ab Akheer Me Ye Baat Samjhen Jo Hasile Guftagu Ke Taur Par Pesh Ho Rahi Hai, 8 Ko Sunnat Aur 20 Ko Gair Sunnat Kehne Wale, Hazrat Abdullah Bin Abbas رضى الله عنهما Ki 20 Rakat Taraveeh Wali Hadees Ko Sirf Ek Rawi Ki Wajah Se Za'eef Qarar Dete Hain, Jab Ki Wo Ye Qaidah Bhool Jate Hain Ki Sanad Dekhne Ki Zarurat Kis Hadees Ke Silsile Me Pesh Aati Hai.
👉🏼 Chaliye Ye Bhi Hum Hi Bata Kar Aap Par Aur Aapke Ullu'ma Par Ehsane Azeem Kar Den.
Qaidah - Eik Hadees Wo Hai Jo Ummat Ke Beech Bil Ittefaq Qubool Ki Gai (Jaise Abdullah Bin Abbas Ki 20 Rakat Wali Hadees) Sahaba Ne Taba'een Ne Aimmah Arbah Ne Aur Ulmae Muqqiqeen Ne Qubool Kiya Aur Inme Se Har Ek Ka Amal Bhi Isi Ke MUTABIQ Hai Aur Dusri Hadees Wo Hai Jo MUKHTALAF FEEH Hai (Jisme Ikhtelaf Hai) Aur Usse Nikalne Wale Hukm Par Na Sahaba Ne Ittefaq Kiya Na Amal Aur Na Baad Walon Ne (Jaise 8 Rakat Taraveeh Wali Hadees) Zahir Hai Sanad Dekhne Ki Zarurat Is Hadees Me Hogi Na Ki Pehli Qism Ki Hadees Me.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment