Barkat Ramadan 29
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-29 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"MASLAE TARAVEEH ME SANAD KI TEHQEEQ"
🛡 Sanad Ki Zarurat Wahan Hoti Hai Jahan Ikhtelaf Ho, Maslan Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Namaz Me Hath Kahan Bandhe, Aameen Ahista Kahi Ya Zor Se, In Jaise Masayel Me Zamanae Sahaba Se Aaj Tak Ikhtelaf Hota Aaraha Hai Jo Jispar Aitemad Karta Hai Uske Qaul Ko Leta Hai, Aur Jahan Ekhtelaf Ki Habba Barabar Bhi Gunjaish Na Ho Hazraate Sahaba Ke MUQADDAS Daur Se Aaj Tak JUMLA MUHADDISEEN AIMMAHE MUJTAHIDEEN Aur FUQHAE KIRAM Ka Ittefaq Ho Ye ITTEFAQ Ye Amli Tawatur Aur "TULAQQI BIL QUBOOL" Khud Sanad Hai Aur Nihayat Qabile Wasooq Sanad Hai.
🚫 Gair Muqallideen Ke Motamad Hafiz Ibne Qaiyyim Hambali Ne Wassiyat Taharat Wagerah Ki Chand Hadisen Likhne Ke Baad Jo Ibarat Likhi Hai Wo Padhne Se Ta'alluq Rakhti Hai Wo Kehte Hain, وان كانت هذه الاحاديث لا تثبت من جهة الاسناد، ولكن لما تلقتها الكافة عن الكافة غنو بصحتها عندهم عن طلب الاسنادلها
Tarjamah - Ye Ahadees Agarche Sanad Ke Aitebar Se Sabit Nahi Hain, Lekin Jab Sab Logon Ne Sab Logon Se Riwayat Karte Huye Ise TULAQQI BIL QUBOOL (تلقى بالقبول) Ka Darjah De Diya, To Ab Sehte Hadees Ko Janchne Ke Liye Sanad Talab Karne Ki Zarurat Nahi Rahi. (اعلام الموقعين،،، ج-١،، ص-٢٠٢)
‼ Ab Aap Samajh Gaye Honge Naqle Tawatur Ummat Ke Tamam Logon Ka Amal Ye Khud Hujjate Shari Hai Aur 20-Rakat Ijmaye Ummat Se Sabit Ho Gai Aur Ab Iska Inkar Ya Isse Farar Na Karega Magar Gumrah.
‼ Akheer Me Eik Dilchasp Aur Kaar'amad Baat Batata Chalun, 8 Rakat Tahajjud Wali Hadees Ko Taraveeh Samajhne Wale Munkire Hadees Firqah Ahle Quran Aur Qaydani Jamat Ke Log Hain Magar Afsos Ki Ab Gair Muqallideen Ki Samajh Daani Bhi Baanjh Ho Gai, Aur Wo Mukireene Hadees Wa Munkireene Khatme Nubuwwat Ki Raah Chalne Lage Ab Zaroori Maloom Hota Hai Ki Gair Muqallideen Ko Unhi Ke Shaikhul Islam Mualana Sana'ullah Amratsari Ki Eik Ibarat Dikhai Jaye, Unse Eik Sawal Hua Jo Ramzan Me Taraveeh Padh Le Phir Wo Tahajjud Padhe Ya Nahi, Jiska Jawab Wo Yun Dete Hain,
Jawab - Padh Sakta Hai Kyun Ki Tahajjud Ka Waqt Subah Se Pehle Ka Hai Shuru Shab (Raat) Ka Nahi. (فتاوی ثنائیہ،، جلد-١،، صفحہ-٢٨٢)
👉🏼 Lijiye Aaphi Ke Shaikhul Islam Taraveeh Aur Tahajjud Ko Alag Alag Namaz Tasleem Kar Rahe Hain.
🚫 Ek MAQAM Par Yahi Shaikhul Islam Munkire Hadees MOLVI ABDULLAH CHAKDALWI Ke Dawa "TAHAJJUD AUR TARAVEEH EIK HI HAI" Ka Rad Karte Huye Likhte Hain,
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment