Barkat E Ramadan 34

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-34 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ


"Jinhe Zakat Dee Jaye Unme Se Kuch Ye Hain",

1- Faqeer :- Faqeer Use Kahenge Jiske Pas Kuch Ho Magar Itna Na Ho Ki Khud Zakat Dene Ke Layeq Ho, Ya Nisab Ke Barabar Ho Magar Wo Chize Uski Hajate Asliya Me Ho Yani Uski Apni Zaruraton Ke Liye. {Raddul Mohtar, Volume-3, Page-333}

✏Mas'ala: Faqeer Agar Aalime Deen Ho To Use Zakat O Sadqat Dena Jahil Ko Dena Se Afzal Hai. {Alamgeeri, Volume-1, Page-187}

👉🏼 Magar Aalime Deen Ko Dete Waqt Uske Martabe Ka Lihaz Zaroori Hai, Is Adab Ke Saath Pesh Kare Jaise Chota Apne Bade Ko Nazr Pesh Karta Hai, Agar Dil Me Aalim Ki Hiqarat Aai To Ye Hilakat (Barbadi) Aur Sakht Barbadi Hai.

2- Miskeen :- Aur Miskeen Wo Hai Jiske Pas Kuch Na Ho Yahan Tak Ki Khane Aur Badan Chupane Tak Ke Liye Mohtaj Ho, Aisa Sakhs Logo Se Sawal Kar Sakta Hai, Magar Faqeer Ko Sawal Karna Jayez Nahi, Q Ki Uske Paas To Hajat Bhar Samaan Hai. {الفتاوى الهندية، کتاب الزکاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ 187}

3- Gaarim (غارم) :- Yani Qarazdar Jispe Qarza Ho Use Bhi Zakat Dee Jasakti Hai, Magar Uspe Itna Qarza Ho Ki Agar Wo Khud Zakat Dega To Uska Maal Nisab Ke Barabar Nahi Rahega. Agarche Uska Bhi Auron Pe Baqi Ho Magar Use Wasool Hone Ki Ummid Na Ho Ya Wo Apne Qarazdaro Se Lene Par Qadir Na Ho, Magar Qarazdar Hashmi Na Ho. {الدرالمختار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-339}

4- Fee Sabi'lillah :- Yani Allah Ki Raah Me Kharch Karna Uski Chand Surtein Hain, Masalan Koi Shakhs Jihad Me Jana Chahta Hai Magar Safar Kharch Paas Nahi Na Sawari Hai To Use Zakat De Sakte Hain, Agar Koi Haj Ko Jana Chahta Hai To Use Bhi De Sakte Hain, Magar Use Khud Sawal Karna Jayez Nahi. Ya Talibe Ilm Jo Ki Deen Ki Taleem Lena Chahta Hai, Use Zakat De Sakte Hain Aur Aisa Talibe Ilm Apne Liye Sawal Bhi Kar Sakta Hai. Yun Hi Har Nek Kaam Me Zakat Laga Sakte Hain Magar Usme Tamleek (Malik Banana) Shart Hai Bagair Malik Banaye Zakat Ada Nahi Hogi. {الدر المختار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-339}

5- Ibnus Sabeel :- Yani Musafir Jiske Pas Maal Na Raha Zakat Le Sakta Hai, Agarche Uske Ghar Maal Maujood Ho Magar Usi Qadr Le Jisse Hajat Puri Ho, Ziyadah Ki Ijazat Nahi. {الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-188

✏Mas'ala: Zakat Me Ye Zaroori Hai Ki Malik Banaye, Sirf Abahat (Kharch Karna) Kafi Nahi. Agar Koi Maale Zakat Masjid Me Kharch Kare Ya Mayyat Ko Kafan De Ya Mayyat Ka Qarza Chukaye, Ya Gulam Azad Kare, Ya Pull (Bridge), Musafir Khana, Sadak, Naher, Kuwan Khudwaye Ye Koi Kitab Wagera Waqf Kare To Ye Nakafi Hai. ?الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-188.

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27