Barkat E Ramadan 43
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-43 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"SADQAE FITR KA BAYAN"
📚 HADEES : Abdullah Bin Umar رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Huzoor E Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Zakate Fitr 1 Saa (Arab Ka Wazan) Khurma Ya Jao Gulam O Azad Mard O Aurat Chhote Aur Bade Musalmano Par Muqarrar Farmaya, Aur Ye Hukm Farmaya Ki Namaz Se Phele Ada kar De. ?صحیح البخاری، أبواب الصدقة الفطر، جلد-1، صفحہ-507، الرقم الحديث-1503،
📚 Hadees : Bande Ka Roza Aasman O Zameen Ke Beech Mu'allaq (Latka) Rehta Hai Jab Tak Sadqae Fitr Ada Na Kare. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-935}
📌 Sadqae Fitr Se Muta'alliq Zaroori Masayel Dhiyan Se Padhe Aksar Ki Aapko Zarurat Pesh Aayegi.
✏Mas'ala: Sadqae Fitr Wajib Hai, Iska WAQT Umr Bhar Hai, Agar Pehle Nahi Diya Tha To Ab De. Na Dene Se Uska Hukm Saqit Nahi Hoga, Aur Takheer Se Dega To Qaza Bhi Nahi Kehlayega, Magar Sunnat Ye Hai Ki Namaze Eid Se Qabal Ada Kare. (Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Sadqae Fitr Ka Bayan, Page-935)
✏Mas'ala: Eid Ke Din Subhe Sadiq Hote Hi Sadqae Fitr Wajib Hota Hai, Lihaza Jo Shakhs Subah Hone Se Pehle Mar Gaya Ya Gani (Sahebe Nisab) Tha Ab Faqeer Ho Gaya, Ya Subah Tuloo Hone Ke Baad Kafir Musalman Hua, Ya Bachcha Paida Hua, Ya Faqeer Tha To Gani Ho Gaya, To Wajib Na Hua, Aur Agar Koi Subah Tuloo Hone Ke Baad Mara To Uska Sadqae Fitr Wajib Hai, Aur Subah Tuloo Hone Se Pehle Kafir Musalman Hua Ya Bachcha Paida Hua, Ya Faqeer Gani Hua To In Sab Pe SADQAE FITR Wajib Hai. (فتاوی عالمگیری، جلد-1، صفحہ-192)
✏Mas'ala: SADQAE FITR Har Musalman Azad Malike Nisab Par Jiska Nisab Hajate Asliya Ke ILAWA Ho Uspe Wajib Hai. SADQAE FITR Ke Liye AAQIL (AQAL WALA) Balig Aur Maal Ka Naami Hona Shart Nahi Na Maal Par Eik Saal Guzarna Bhi Zaroori Nahi. (Durr E Mukhtar, Volume-3, Page-362)
✏Mas'ala: SADQAE FITR Ke Liye MAAL Ka Baqi Rehna Bhi Shart Nahi. Maal Hilak Hua Tab Bhi Sadqa Dena Wajib Rahega. (Durr E Mukhtar, Volume-3, Page-366)
✏Mas'ala: SADQAE Fitr Ke Liye Roza Rakhna Shart Nahi, Kisi Uzr (Majburi) Ya Safar Ya Marz Ya Budhape Ki Wajah Se Ya Maz'allah Bila Wajah Roza Chhod Diya Tab Bhi Wajib Hai. (Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-936)
✏ Mas'ala: Sadqae Fitr Unhi Ko Diya Jaye Jinhe Zakat Dee Jati Hai, Jinhe Zakat Dena Jayez Nahi Unhe Sadqae Fitr Bhi Nahi De Sakte. Aamil (Jise Badshahe Islam Ne Zakat Wasool Karne Ka Kaam Diya Hai) Ko Sadqae Fitr Lena Jayez Nahi Haan Zakat Le Sakta Hai. (Durr E Mukhtar, Volume-3, Page-379(
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment