Barkat E Ramadan 23
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-23 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"TARAVEEH 20 PAR SAHABA KA AMAL AUR IJMA"
🏺 Hazrat Sa'eed Bin Jubair (سعید بن جبیر) رحمه الله تعالى Bade Taba'een Me Shumar Hote Hain, Hazrat Ibne Abbas, Hazrat Ibne Zubair, Hazrat Ibne Umar, Hazrat Adi Bin Hatim رضى الله عنهم Ki Ziyarat Ki Aur Unse Riwayat Lee, Aapko Hajjaj Bin Yusuf Ne Zulman Qatl Kiya Tha, Aapke Muta'alliq Isma'eel Bin Abdul Malik رحمه الله تعالى Farmte Hain, كان سعيد بن جبير يومنا فى شهر رمضان فكان يقرء بقرائتين جميعا، يقرءليلة بقراءةابن مسعود فكان يصلى خمس ترويحات
"Tarjamah - Hazrat Sa'eed Bin Jubair Ramzanul Mubarak Me Hamari Imamat Farmate The, Aap Dono Qir'aten Padhte The, Ek Raat Ibne Masood Ki Qirat Padhte (Aur Dusri Raat Hazrat Usman Wali Qirat) Aap 5-Tarvihe Yani 20-Rakat Taraveeh Padhte The. (مصنف عبد الرزاق، ج-٤، ص-٢٠٤، رقم الحدیث-٧٧٧٩)
👉🏼 Amale Sahaba Wa Taba'een Se Bhi Taraveeh Ka 20-Rakat Hi Hona Sabit Ho Gaya, Gair Muqallideen In'sha'allah Qayame Qayamat Tak Aise Qate Dalayel Pesh Na Kar Sakenge.
"20-Rakat Taraveeh Aur 4 Imam"
🔮 Sawade Azam Ahlesunnat Wa Jamat Ke 4 FIQHI Mazahib Jinki TAQLEED 12 Sadyon Se Ummat Karti Aarahi Hai Aur In 4 Mazahib Ke Aimmah Imame Azam Abu Hanifah, Imame Malik, Imame Shafai, Imame Ahmad Bin Hambal رضى الله عنهم Jinko Bil Ijma Puri Ummat Ne Apna Imam O Peshwa Qubool Kiya Hai Aur Ab Qaymat Tak Tamam Musalmano Par Inme Se Kisi Eik Ki TAQLEED Karni Wajib Hai, Aur Jo Inme Se Kisi Ek Ki TAQLEED Na Kare Aur Gair Muqallid Bane Wo Aalim Ho Ya Jahil Muhaqqiq Ho Ya MUDAQQIQ Beshak Wo Gumrah Aur Gumrah Gar Hai, In 4ron Imamo Ke Nazdeek Bhi Taraveeh 20 Rakat Hai, Haan FAQAT Imame Malik Ke Bare Me 2 Riwayate Hain Ek 20 Ki Aur Ek 36 Rakat Ki, Aur 36 Rakat Wo Is Liye Ki Makka Sharif Wale Har 8 Rakat Ke Baad 7 Martaba Khanae Kaba Ka Taawaf Karte The Aur Madine Ke Rehne Wale Is Par Qadir Na The To Ahle Madina Ne Iska Badal Ye Nikala Ki Har Tawaf Ke Badle 4 Rakat Ka Izafa Kiya Imame Malik Ne Bhi Isi Ko Ikhteyar Kiya Yani 16 Za'id Nawafil.
🔰 Hazrat Ibne Qudamah Muqaddasi Hambali رحمه الله تعالى Farmate Hain, انما فعل هذا اهل المدينة لانهم ارادوامساواة اهل مكة فان اهل مكة يطوفون سبعا بين كل ترويحتين فجعل اهل المدينة مكان كل سبع اربع ركعات
Tarjamah - Ahle Madinah Ne Ye Is Liye Kiya Tha Taki Ahle Makkah Se Barabari Ho Jaye Kyun Ki Ahle Makkah Har 2 Tarvihon Ke Darmiyan 7 Martaba Baitullah Ka Tawaf Karte The, Lihaza Ahle Madina Ne Har 7 Tawaf Ki Jagah 4 Rakaten Badha Dee. Phir Ibne Qudamah Likhte Hain, Lekin Chunki Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Se 20 Hi Rakat Marwi Hai Is Liye Hame Isi Ki Itteba Karni Chahiye Khawah Kisi Jagah Bhi Rahen, Kyu Ki As'haabe Rasool صلى الله عليه وسلم Hi Sab Se Behtar Hain Aur Itteba Ke Ziydah HAQDAR Hain. (المغنى، ج-٢، ص-١٦٧)
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment