Barkat E Ramadan 24

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-24 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ


"20-Rakat Taraveeh Aur 4 Imam"

🚫 Gair Muqallideen Ki Baat To Yahan Aur Bhi Bigdegi Kyun Ki Imame Malik 20 Aur 36 Dono Ke Qayel Hain, Magar 8 Ke To Hargiz Nahi Hain, Balki 20 Aur 36 Ke Hain Aur Gair Muqallideen Nafs Parast Log Deen Me Aasani Paida Karne Wale Ise Kab Qubool Karenege❔❓

In 4 Aimmahe Haq Me Sab Se Afzal O Aala Baland O Baala, Buzurg O Bartar, Girton Ko Uthane Wale, Doobton Ko Bachane Wale, Raahe Hidayat Dikhane Wale, 72 Sahaba Ki Ziyarat Farmane Wale, Huzoor Pur'noor Sayyedna Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Bin Zoota Kufi رضى الله عنهم Ke Mazhabe HAQ Me Bhi Taraveeh 20-Hi Rakat Hai.

🛡 Imam Fakhruddin رحمه الله تعالى Fatawa Qazi Khan Me Likhte Hain, عن ابى حنيفة قال القيام فى شهر رمضان سنة..... كل ليلة سوى الوتر عشرين ركعة خمس ترويحات

Tarjamah - Imame Azam Abu Hanifah رضى الله عنه Farmate Hain Ki Ramzan Me Har Raat Me 5 Tarvihe (20-Rakat Taraveeh) Padhna Sunnat Hai 3 Witr Ke Ilawah. (فتاوى قاضى خان، ج-١، ص-١١٢)

🕌 Malki Mazhab Ke Imam O Peshwa Rehbare Ahlesunnat Wa Jamat Ashiqe Sadiq Rasool E Pak صلى الله عليه وسلم Imame Darul Hijrat Huzoor Saiyyedna Imam Malik Bin Anas رضى الله عنه Ka Amal Bhi 20 Rakat Taraveeh Par Hai,

Allam Ibne Rushd Malki رحمه الله تعالى Farmate Hain, واختار مالك فى أحد قوليه....... القيام بعشرين ركعة

Imam Malik Ne Ek Qaul Me 20 Rakat Taraveeh Ko Pasand Farmaya Hai. Dusra Qaul 36 Ka Hai Jisme 20 Taraveeh Aur 16 Za'id Nawafil. (بداية المجتهد،،، ج-١، ص-٢١٤)

🔮 Shafai Mazhab Ke Imam O Peshwa Ataye Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Huzoor Saiyyedna Imam Muhammad Bin Idrees Shafai رضى الله عنه Farmate Hai, وهكذا ادركت ببلدنا بمكة يصلون عشرين ركعة

Mein Ne Apne Shaher Makka Sharif Me Logon Ko 20 Rakat Taraveeh Padhte Paya Hai. (جامع الترمذي،،، ج-١، ص-١٦٦)

🔰 Imam Ibne Qudamah Hambali رحمه الله تعالى Apne Mazhab Ke Imam O Peshwa Imame Ahlesunnat Wa Jamat Saiyyedna Imam Ahmad Bin Hambal رضى الله عنه Ke Hawale Se Likhte Hain, والمختار عندأبى عبدالله فيها عشرون ركعة وبهذا قال الثورى وأبو حنيفة والشافعى

Tarjamah - Imam Abu Abdullah (Ahmad Bin Hambal) Ke Nazdeek Mukhtar Aur Rajeh 20-Rakat Hi Hai, Aur Imam Sufyan Soori, Imame Azam Abu Hanifah, Aur Imam Shafai Bhi 20 Hi Ke Qayel Hain. (المعنى لابن قدامه، ج-٢، ص-٣٦٦، مسئله-٢٤٧)

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27