Barkat E Ramadan 31
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-31 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"ZAKAT KA BAYAN"
💰 Apne Malo Ki Zakat Na Dene Walo Par Kis Tarah Ka Azab Hoga Huzoor Nabiye Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshad Suniye.
📚 HADEES: Jo Sone Aur Chandi Ka Malik Ho Aur Uska HAQ Ada Na Kare To Jab Qayamat Ka Din Hoga Uske Liye Aag Ke Pattar Banaye Jayenge, Unpar Jahnnam Ki Aag Bhadkai Jayegi, Aur Unse Uski Karwat Aur Peshani Aur Peeth Daagi Jayegi, Jab Thande Hone Par Ayge Phir Waisa Hi Kiya Jayega. Ye Mamla Us Din Ka Hai Jiske Eik Din Ki MIQDAR 50000 Saal Hai (Qayamat Ka Din) Aur Oonton Ke Bare Me Farmaya Jayega Jo Uska HAQ Ada Nahi Karta Qaymat Ke Din Use Eik Khule Maidan Me Litaya Jayega Aur Wo Oont Mote Mote Hoke Aayenge Aur Use Pairon Se Kuchlenge Aur Danton Se Katenge, Jab Oonton Ki Jamat Khatm Hogi To Phir Gaye (Cow) Aur Bakriyan Aayengi Aur Apne Seengon Se Maregi Aur Khuron Se Rondegi. {صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب زكاة البقر، جلد-1، صفحہ-492، الحديث 1460}
📚 Hadees : Huzoore Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Farmate Hain, Jo Qaum Zakat Ada Nahi Karti Wo Qahet Me Mubtela Hogi (Tarah Tarah Ki Bimariyan Aasmani Afaten Khuskh Saali Wo Deegar Masayeb) ?المعجم الأوسط، جلد-3، صفحہ-276، الحديث-4577.
📚 Hadees : Hazrat Umar Farooq رضى الله تعالى عنه Se Riwayat Hai Huzoore Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshade Aali Hai, Jo Maal Kushki (Zameen Pe) Aur Tari (Pani Me) Talf (Barbad) Hota Hai Wo Zakat Na Dene Se Talf Hota Hai. ?الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، الترهيب من منع الزكاة، جلد-1، صفحہ-308، الحديث-16
💰 Zakat Na Ada Karne Ke Azaab Aur Zillaten Huzoor Nabiye Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Ki Roshni Me Padhiye,
📚 Hadees : Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayenge Magar Maal Daron Ke Hathon, To Aye Maldaro Sun Lo, Allah Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega. ?الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، جلد-2، صفحہ-275، رقم الحدیث-5.
📚 Hadees : Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Eik Wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se Allah Ka HAQ Ada Nahi Kiya. ? صحیح ابن خزيمة، كتاب الزكاة، باب ذكر إدخال مانع الزكاة النار.....إلخ، جلد-4، صفحہ-8، الرقم الحديث-2249.
📚 Hadees : Sahi Sanad Se Ye Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai Farmate Hain, Hame Hukm Hua Namaz Padhen Zakat Den, Jisne Zakat Nahi Dee uski Namaz Qubool Nahi. ?المعجم الكبير، جلد-10، صفحہ-103، الرقم الحديث-10095.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment