Barkat E Ramadan 33

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-33 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ


"ZAKAT Ki Tareef"

Allah Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka Musalman Faqeer Ko Malik Banana Zakat Kehlata Hai, Magar Wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam, Aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul Juda Kar Le.

✏Mas'ala: Zakat Farz Hai Uska Inkar Karne Wala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl Ka Mustahiq, Aur Dene Me Der Karne Wala Gunehgar, Aur Mardudushsha'hadah Hai. (Yani Agar Wo Kisi Mamle Me Gawahi De To Uski Gawahi Nahi Mani Jayegi) {الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب الأول، جلد-1، صفحہ-170}

✏Mas'ala: Zakat Me Malik Banana Zaroori Hai, Sirf Mubah Karne Se Zakat Ada Nahi Hogi, Masalan Faqeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khana Khilaya To Zakat Ada Na Hui Ki Malik Kar Dena Nahi Paya Gaya, Haan Agar Khana De Diya Chahe To Khaye Ya Le Jaye To Ada Ho Gai, Isi Tarah Zakat Ki Niyyat Se Kapda Diya Ya Pehnaya, To Ada Ho Gai. {بهار شریعت، حصه-5، صفحہ-874}

✏Mas'ala: Zakat Wajib Hone Ki Kuch Sharten Hain, 

Musalman Hona. 
AAQIL (AQL WALA) HONA.
BALIG HONA.
AZAD HONA.
MAAL KA NISAB KO PAHOCHNA AUR WO USKE MILK (QABZE) ME HONA.
Nisab Ka Den (Qarz) Se farig Hona.
Nisab Ka Hajate Asliya Se Farig Hona.
HAOLANE HAOL (Maal Pe Eik Saal Guzarna) {Kutbe fiqah}

✏Mas'ala: Jo Maal Girwi Rakha Gaya Uski Zakat Na Rakhne Wale Par Na Jiske Pas Rakha Uspe Na Utne Zamane Ki Jitne Zamane Wo Girwi Raha. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-877}

✏Mas'ala: Koi Shakhs Qarazdar Hai Aur Qarza Chukane Ke Baad Uske Pas Nisab Ke Barabar Maal BAQI Nahi Rehta To Uspe Zakat Nahi. {Fatawa Hindiya, Volume-1, Page-172}

✏Mas'ala: Zakat 3 Hi Qism Ke Maal Par Hai. Sona Chandi, Tijarat Ka Maal, Saymah Charai Pe Chute Huye Janwar. (Kutbe Fiqh)

"Zakat Kise Dee Jaye Aur Kise Nahi, Is Silsile Me Ahadees Aur Fiqhi Masayel".

📚 Hadees : Huzoor E Aqdas صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya, Sadqah Admiyon Ka Mayel (Gandagi) Hai Aur Ye Meri Ahle Bait Ke Liye Jayez Nahi. ?الطبقات الكبرى، لابن سعد، جلد-1، صفحہ-29.

🚫 Maale Zakat Bani Hashim Ko Jayez Nahi, Bani Hashim Me Ye Log Hain
Awlade Hazrat Ali رضی اللہ تعالٰی عنہ
Awlade Hazrat Aqeel رضی اللہ تعالٰی عنہ
Awlade Hazrat Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہ

📚 Hadees : Hamare Liye Sadqah Halal Nahi Aur Jis Qaum Ka Azad Kiya Hua Gulam Ho Wo Bhi Unhi Me Se Hai (Bani Hashim Ke Gulamo Ko Bhi Sadqah Zakat Dena Jayez Nahi) ?جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ماجاء في كراهية الصدقة للنبي الكريم صلى الله تعالى عليه وسلم، وأهل بيته ومواليه، جلد-2، صفحہ-142، الرقم الحديث-657

📚 Hadees : Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai, Ki Imame Hasan رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Sadqe Ka Khurma Muh Me Rakha Ispe Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya Kakh Kakh (Chi Chi) Use Phenk Do, Phir Farmaya Kya Tume Maloom Nahi Ki Hum Sadqah Nahi Khate ❔❓ صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب ما يذكر في الصدقة للنبي صلى الله عليه وسلم وآله، جلد-1، صفحہ-503، الرقم الحديث-1491..

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27