Barkat E Ramadan 37

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-37 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ


"Aitekaf Ka Bayan"

📚 Hadees : Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Farmati Hain, Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye, Aur Na Usse Mubashirat Kare, Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye, Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho, Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi, Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare. ?سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172.

🕌 "Ramzan Ke Akhri 10 Din Ka Aitekaf Yani 20we Roze Ko Suraj Doobte Waqt Masjid Me Ba-Niyyate Aitekaf Hona Aur 30we Ramzan Ko Suraj Doobte Hi Nikalna Ya 29 Ko Chand Nazar Aane Par Masjid Se Nikalna, Agar 20we Ramzan Ko Namaze Magrib Ke Baad Aitekaf Ki Niyyat Se Dakhil Hua To Sunnate Moakkedah Ada Na Hui, Ramzan Ka Aitekaf Sunnate Kifayah Hai, Agar Shaher Ya Gaon Ke Sab Logo Ne Chhod Diya To Sab Se Puch Hogi, Aur Agar Eik Ne Bhi Kiya To Sab Bariuz'zimmah Hain"

✏Mas'ala: Masjid Me Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Thaherna Aitekaf Hai, Aur Uski Liye Musalman Aaqil (Aqal Wala) Aur Janabat Aur Haiz O Nifas Se Pak Hona Shart Hai, Balig Hona Shart Nahi, Balki Na'balig Jo Tameez Rakhta Ho Agar Ba-Niyyate Aitekaf Masjid Me Tehre To Ye Aitekaf Sahi Hai. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}

✏Mas'ala: Aitekaf Ke Liye Jama Masjid (Badi Masjid) Shart Nahi, Balki Masjide Jamat Jisme Imam O Mo'azzin Muqarrar Hon Agarche Usme Panjgana Jamat Na Hoti Ho, Aur Asani Isme Hai Ki Mutlaqan Har Masjid Me Aitekaf Sahi Hai, Agarche Wo Masjide Jamat Na Ho, Khususan Is Zamane (Gaon Dihat Me) Aksar Masajid Aisi Hain Ki Wahan Na Imam Hai Na Mo'azzin. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5 Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}

✏Mas'ala: Sab Se Afzal Aitekaf Karna Masjide Haram (Kabatullah) Me, Phir Masjide Nabwi Me, Phir Masjide Aqsa Me, Phir Usme Jahan Badi Jamat Hoti Ho. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1021}

✏Mas'ala: Aurat Ko Masjid Me Aitekaf Karna Makrooh Hai. Balki Wo Ghar Me Hi Us Jagah Aitekaf Kare Jo Usne Namaz Padhne Ke Liye Banai Ho. Aurat Ke Liye Mustahab (Achcha) Ye Hai Ki Ghar Me Namaz Padhne Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Kare. Wo Jagah Chabutra Type Unchi Ho. Aur Use Pak O Saf Rakhe. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}

✏Mas'ala: Agar Aurat Ne Ghar Me Namaz Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Nahi Kee To Ghar Me Aitekaf Nahi Kar Sakti. Albatta Us Waqt Jab Aitekaf Ka Iradah Kiya Kisi Jagah Ko Aitekaf Ke Liye Khas Kiya To Us Jagah Aitekaf Kar Sakti Hai. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27