Barkat E Ramadan 39
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 BARKAAT E RAMZAN 🥀*
❖ Part:-39 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
"Aitekaf 3 Tarah Ke Hain"
✏Mas'ala: Qazaye Hajat (Pakhana Peshab) Ko Bahar Gaya To Farig Hote Hi Chala Aaye Thaherne Ki Ijazat Nahi, Motakif Ke 2 Makan Hain Eik Masjid Se Door Aur Eik Nazdeek To Nazdeek Ke Makan Me Jaye Baz Mashayekh Farmate Hain Agar Door Ke Makan Me Gaya To Aitekaf Toot Gaya. {Raddul Mohtar, Volume-3, Page-501}
✏Mas'ala: Aisi Masjid Me Aitekaf Kiya Jahan Jamat Se Namaz Na Hoti Ho To Namaze Ba-Jamat Ke Liye Dusri Masjid Me Jane Ki Ijazat Hai. {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1024}
✏Mas'ala: Jis Masjid Me Aitekaf Kiya Tha Wo Gir Gai Ya Kisi Ne Wahan Se Nikalne Pe Majboor Kiya To Faoran Dusri Masjid Me Jaye Aitekaf Nahi Tootega. {Alamgeeri, Volume-1, Page-212}
📌 Aaj Ke Zamane Me Shaher Ki Tamam Masjido Se Lag Kar Hi Wazu Khana Istenja Khana Aur Gusl Khana Bana Hota Hai Motakif Wahan Chala Jaye Lekin Farig Hote Hi Masjid Me Aajaye Agarche Wo Masjid Se Qarib Bane Hote Hain Lekin Hain To Kharije Masjid Hajat Puri Hone Ke Baad Wahan Thaherne Se Aitekaf Toot Jayega.
✏Mas'ala: Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Agar Dubte Ya Jalte Ko Bachane Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya Ya Mareez Ko Dekhne Ya Jihad Karne Ya Gawahi Dene Masjid Se Bahar Gaya Ya Namaze Janaza Padhane Gaya Aur Wahan Dusra Padhane Wala Nahi Tha Tab Bhi In Tamam Surton Me Aitekaf Toot Jayega. ?الفتاوى الهندية. كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-212.
✏Mas'ala: Aitekaf E Wajib (Minnat Ka Aitekaf) Karte Waqt Ye Shart Kee Thi Ki Mariz Ko Dekhne Namaze Janaza Aur ILMI MAJALIS Me Hazir Hoga To Ye Shart Jayez Hai. Ab Agar In Kamo Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya To Aitekaf Na Toota. Magar Sirf Dil Me Niyyat Kafi Nahi Balki Zaban Se Kehna Bhi Zaroori Hai. ?الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-212.
✏Mas'ala: Motakif Pakhana Peshab Ke Liye Gaya Tha Qaraz Khawah Ne Rok Liya To Aitekaf Toot Gaya. بہارشریعت، اعتكاف كا بيان، حصہ-5، صفحہ-1025.
✏Mas'ala: Motakif Ne Din Me Bhol Kar Khaya Piya To Na Roza Toota Na Aitekaf, Motakif Ne Haram Maal Ya Nasha Ki Chiz Rat Me Khai To Aitekaf Nahi Toota, Magar Is Haram Khori Ka Gunah Hua Is Liye Tauba Kare. Motakif Masjid Me Hi Khaye Piye Soye In Kamo Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya To Aitekaf Fasid Hua, Magar Khane Pine Me Masjid Ki Safai Ka Khoob Khayal Rakhe Masjid Me Gandagi Na Ho, Aitekaf Me Gali Galoch Ya Jhagda Karne Se Aitekaf Nahi Toot'Ta Magar Be'Noor Aur Be-Barkat Hota Hai. ?الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-213.
✏Mas'ala: Motakif Ke Siwa Masjid Me Kisi Aur Ko Khane Pine Aur Sone Ki Ijazat Nahi, Agar Ye Kaam Karna Chahe To Masjid Me Aitekaf Ki Niyyat Kare Aur Namaz Padhe Ya Zikre ILAHI Kare Phir Ye Kaam Kar Sakta Hai. بہارشریعت، اعتكاف كا بيان، حصہ-5، صفحہ-1026.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment