Barkat E Ramadan 17

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-17 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

"Rakate Tarveeh Ka Muhaqiqana Jayezah" "TARAVEEH KI MUTAAIYYAN RAK'ATEN"

📚 HADEES: عن ابن عباس ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلى فى رمضان عشرين ركعة والوتر انتهى

Tarjamah- Hazrat ABDULLAH BIN ABBAS Farmate Hain Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ramzanul Mubark Me 20 Rakate Aur Witr Padha Karte The. {بحوالہ--- مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-2،صفحہ-394،،،،! بيهقی، جلد-2، صفحہ-496،،،،! المعجم الكبير الطبراني، جلد-3، صفحہ-148،،،! منتخب مسند حميد بن حميد، جلد-1، صفحہ-73،،،! وغيره}

📌 Note - Iske Silsilae Sanad Me Bhi Eik Zaeef Rawi Ibraheem Bin Usman Maujood Hai. Jabki 8 Wali Hadees Me 2 Zaeef Rawi Hain.

👉🏼 Khulasa Ye Ki Huzoor صلى الله عليه Se Taraveeh Ki 20 Ya 8 Rakat Sarahat Ke Saath Kisi Sahi Hadees Me Maujood Nahi Hai.

👉🏼 Aur 20 Rakat Padhna Sahaba Wa Tabaeen Aur Jumla Ulamae Mohaqqiqeen Se Sabit Hai Aur Jamhoor Ka Yahi Mazhab Hai Ki Taraveeh 20 Rakat Hai.

📌 Aur 20 Rakat Padhne Ka Saboot Sahi Sanado Se Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali Aur Jumla Sahaba Ke Amal Se Maujood Hai. Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ummat Ko Hukm Farmaya Ki Meri Aur Mere Khulafae Rashideen Ki Sunnat Par Chalo. {جامع الترمذي، أبواب العلم، باب ماجاء في الأخذ بالسنة......إلخ، جلد-4، صفحہ-308، الحديث-2658}

👊🏼 Challenge- Naam Ke Ahlehadees Hame 8 Rakat Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Kar Dikhayen Aur Eik Marfoo Hadees Is Silsile Me Pesh Karen Aur Is Faqeer Kaleem Razvi Se Muh Manga Inam Lete Jaye..Insha'Allah Qayamat To Aajyegi Magar Wo Din Kabhi Nahi Aayega Ki Hadees Hadees Ki Ratt Lagane Wale Gair Muqallideen Is Silsile Me Eik Bhi Sahi Sareeh Marfoo Hadees Me Huzoor Ke Amal Se Ramzan Me 8 Rakat Taraveeh Padhne Ki Hadees Pesh Kar Payen.

👉🏼 Kyu Ki Inke Shaikhul Islam IBNE TAIMIYAH Hambali Ne Khud Iska IQRAR Kiya Hai,

من ظن ان قيام رمضان فيه عدد معين مؤقت عن النبي صلى الله عليه وسلم لا يزاد عليه ولا ينقص فقد أخطأ

TARJAMAH - Jo Ye Samjhe Ki Qayame Ramzan (Taraveeh) Ke Silsile Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Koi Muta'aiyyan (Fixed) Adad Manqool Hai Jisme Na Kuch Kam Ho Sakta Hai Na Ziyadah Wo Galti Par Hai. {مرقات، ج-٢، ص-١٧٥)

👉🏼 Inke Ek Aur Bade Allama Qazi Shokani Likhte Hain,

والحاصل الذين دلت عليه احاديث الباب وما يشابهما هو مشروعية القيام فى رمضان والصلوة فى جماعة وفرادى فقصر الصلوة المسماة با لتراويح على عدد معين وتخصيصها بقرأة مخصوصه لم ترد به سنة

TARJAMAH - Ramzan Ka Qayam (Taraveeh) Mashroo Hai, Aur Namaz Jamat Se Padhi Jayegi Aur Tanha Bhi, Pas Taraveeh Ko Kisi Muta'aiyyan Adad Ke Sath Khas Karne Aur Kisi Bhi Qirat Se Khas Karne Ki Koi Hadees Maujood Nahi. {نيل الاوطار، ج-٣،، ص-٥٣}

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27