Barkat E Ramadan 38

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 BARKAT E RAMZAN 🥀*



                     ❖ Part:-38 ❖
                         


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

"Aitekaf 3 Tarah Ke Hain"

1- Wajib Yani Minnat Ka Aitekaf, 
2- Sunnate Moakkedah Ye Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf Hai,
3-Mustahab Aitekaf, Iske Liye Roza Zaroori Nahi Na Koi Khas Waqt Balki Jab Bhi Masjid Me Gaya Aitekaf Ki Niyyat Kare, Jab Tak Masjid Me Rahega Motakif Hai Aur Jab Chala Aaya Aitekaf Pura Ho Gaya, Ye Baigar Mehnat Ka Aitekaf Hai Sirf Niyyat Se Hi Sawab Milna Shuru Hota Hai. Lihaza Jab Bhi Masjid Me Jaye Aitekaf Ki Niyyat Zaroor Karen.

✏Mas'ala: Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Roza Shart Hai Agar Kisi Musafir Ya Bimar Ne Aitekaf Kiya Magar Roza Nahi Rakha To Sunnat Ada Na Hui Balki Aitekaf Nafl Hua. ?الدر المختار، كتاب الصوم، باب الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-496.

✏Mas'ala: Minnat Ke Aitekaf Ke Liye Bhi Roza Shart Hai. Agar 1 Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Mani Aur Kaha Ki Bina Roze Ke Sirf Aitekaf Karuga Tab Bhi Roza Rakhna Wajib Hai. ?الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-497.

✏Mas'ala: 1 Mahina Aitekaf Ki Minnat Maani To Ye Minnat Ramzan Me Puri Nahi Kar Sakta, Balki Khas Us Aitekaf Ke Liye Roze Rakhne Hoge. {Alamgeeri, Volume-1, Page-211}

✏Mas'ala: Aurat Ne Aitekaf Ki Minnat Mani To Shohar Use Aitekaf Karne Se Rok Sakta Hai, Aurat Shohar Se Talalq Pane Ya Uske Marne Ke Baad Apni Minnat Puri Kar Saki Hai. {Alamgeeri, Volume-1, Page-211}

✏Mas'ala: Wajib Aitekaf (Minnat Ka Aitekaf) Me Motakif Ko Masjid Se Nikalna Haram Hai, Agar Bagair Uzr Nikla To Aitekaf Toota Agarche Bhool Se Hi Nikla Ho, Yun Hi Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Bhi Bila Uzr Nikalne Se Aitekaf Toot Jata Hai. {Alamgeeri, Volume-1, Page-211}

✏Mas'ala: Aurat Ne Masjide Bait (Ghar Me Wo Hissa Jo Aurat Ne Apne Namaz Padhne Ke Liye Banaya Ho) Me Sunnat Ya Wajib Aitekaf Kiya Aur Wahan Se Bila Uzr Nikli To Aitekaf Toot Gaya. {Alamgeeri, Volume-1, Page-212}

Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Ko Masjid Se Nikalne Ke 2 Uzr (Wajah) Hain.

✏Mas'ala: 1- Hai Taba'ee Hajat. Jaise Pakhana Peshab Istinja Wazu Aur Gusl, Agar Masjid Me Wazu Aur Gusl Ke Liye Bana Ho To Ab Bahar Jana Jayez Nahi Gaya To Aitekaf Toota.

2-Shari Hajat. Masla'lan Eid Ya Juma Ke Liye Jana Ya Azan Kehne Ke Liye Minare Par Jana. {Durre Mukhtar, Volume-3, Page-501}

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27