🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 20 RIKAAT TARAVEEH KI DALEEL 🥀*



*PART 03*

ABU DAWOOD KI HADEES PR GAIR MUQALLIDO KE AITRAAZ OR UNKE JAWABAAT

Sanad :

Imam Abu Dawud Rh. — > Shuja’a bin Makhlad Rh. — > Hushaim Rh. — > Yunus bin Obaid Rh. — > Hasan al Basri Rh.

Matan :

Hazrat Hasan al Basri Farmaate hai ke Hazrat Umar bin Khattab rdh. ne Ramzaan me Namaaz e Taraaweeh pardhaane ke liye hazrat Ubai bin Ka’ab Rdh. ki imaamat par logo ko jama kiya toh Ubai bin Ka’ab Rdh. unko 20 Rakaat pardhaate the.

(Sunan Abu Dawud, Bahawala Seer Alamun Nubula : Jild 1 : Safa 400-401)

Scan Page :

Is riwayat ki Ruwaat ki Tafseel Yeh hai ke

1 – Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. Mashoor Siqa, Hafiz aur Imam hai. (Taqreeb)

2 – Shuja’a bin Makhlad Rh. Al Mutawaffa 235 Hij. Saheeh Muslim ke Raavi hai aur SIQA hai. (Al Ikmaal Tehzeeb ul Kamaal : Jild 6 : Safa 219)

Scan Page :

3 – Hushaim bin Basheer Rh. Al Mutawaffa 183 Hij. Saheehain ke Raavi hai aur SIQA wa Mazboot hai. (Taqreeb : Raqm 7312)

Scan Page :

4 – Yunus bin Ubaid Rh. Al Mutawaffa 139 Hij. bhi Saheehain ke Raavi hai aur Siqa, Mazboot, Faazil aur Taqwe waale hai. (Taqreeb : Raqm 7909)

Scan Page :

5 – Imam Hasan al Basri Rh. Al Mutawaffa 110 Hij. Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ke Markazi Raavi hai aur Siqa, Faqi aur Mashoor hai. (Taqreeb : Raqm 1227)

Lehaaza Yeh Sanad SAHEEH hai.

Aiteraaz no 1 :

Ahlehadees Firqa ke Kifayatullah Sahaab Likhte hai ke

Is riwayat me 20 Raat ka Zikr hai, Lekin Kuch logo ne Tehreef karke Use 20 Rakaat banaa diya. (Masnoon Taraaweeh : Safa 96)

Al – Jawaab :

Ahnaaf se pehle,

Yeh riwayat ko

1 – Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. ne 20 Rakaat ke Lafz ke saat Naql kiya hai :

Dekhiye,

فِي (سُنَنِ أَبِي دَاوُدَ) : يُوْنُسُ بنُ عُبَيْدٍ: عَنِ الحَسَنِ: أَنَّ عُمَرَ بنَ الخَطَّابِ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بنِ كَعْبٍ فِي قِيَامِ رَمَضَانَ، فَكَانَ يُصَلِّي بِهِم عِشْرِيْنَ رَكْعَةً

(Seer Alamun Nubula : Jild 1 : Safa 401)

Scan Page :

Agar Imam Zehbi Rh. Abu Dawud ki riwayat me 20 Rakaat Taraaweeh Naql kare, Toh Firqa e Ahlehadees ke Abu zaid Zameer Use Ghalati Kehte hai :

Lekin Jab yahi riwayat Ahnaaf Bayaan kare, Toh Firqa e Ahlehadees ke Kifayatullah Use Tehreef Kehte hai.

Yeh Dogli policy Kyun ?

Kya Firqa e Ahlehadees ki Ahnaaf se Khuli Dushmani aur Bughz ka Saboot NAHI hai ?

2 – Imam Mauqoof uddin Ibn Qudaama Rh. Al Mutawaffa 620 Hij. ne bhi Isi riwayat ko 20 Rakaat ke Lafz ke saat Naql kiya hai, Unke Alfaaz Yeh hai :

وَقَدْ رَوَى الْحَسَنُ أَنَّ عُمَرَ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، فَكَانَ يُصَلِّي لَهُمْ عِشْرِيْنَ رَكْعَةً

(Al Mughni : Jild 2 : Safa 580)

Scan Page :

3 – Imam Shamsuddin Ibn Qudaama Rh. Al Mutawaffa 682 Hij. ne bhi 20 Rakaat ke Alfaaz ke saat Yeh riwayat Naql Farmaayi hai.

لما روي أن عمر جمع الناس على أبي بن كعب فكان يصلي بهم عشرين كْعَةً ولا يقنت إلا في النصف الثاني، رواه أبو داود.

(Sharah Kabeer Li Ibn Qudaama : Jild 4 : Safa 125)

Scan Page :

المقنع والشرح الكبير_Page125

4 – Imam Ibn Kaseer Rh. Al Mutawaffa 774 Hij. bhi 20 Raato ke Bajaaye 20 Rakaat Naql karte.

(أن عمر جمع الناس على أُبي، فكان يصلي بهم عشرين ركعة) الحديث ورواه أبو داود

(Jaame ul Masaanid was Sunan Li Ibn Kaseer : Jild 1 : Safa 86)

Scan Page :

5 – Imam Ahmed bin Farha Rh. Al Mutawaffa 699 Hij. bhi is riwayat ko 20 Rakaat ke Lafz ke saat Naql karte hai ke

دَلِيلنَا: مَا روى أَبُو دَاوُد عَن الْحسن أَن عمر جمع النَّاس على أبي وَكَانَ يُصَلِّي لَهُم عشْرين رَكْعَة، وَلَا يقنت بهم إِلَّا فِي النّصْف الثَّانِي

(Mukhtasar Khilaafiyaat Lil Behaiqi : Jild 2 : Safa 277)

Scan Page :

6 – Imam Muhammed bin Musa ad-Dameeri Rh. Al Mutawaffa 808 Hij. ne Abu Dawud ki Isi riwayat ko 20 Rakaat ke Lafz ke saat Naql karte hai.

(Najm ul Wahaaj : Jild 2 : Safa 298)

Scan Page :

7 – Imam Maawardi Rh. Al Mutawaffa 450 Hij. ne Yahi riwayat ko 20 Rakaat ke Lafz se Naql kiya hai.

دَلِيلُنَا رِوَايَةُ يُونُسَ بْنِ عُبَيْدٍ عَنِ الْحَسَنِ الْبَصْرِيِّ أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيٍّ وَقَالَ: صَلِّ بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَةً، وَلَا تَقْنُتْ بِهِمْ إِلَّا فِي النِّصْفِ الْأَخِيرِ

(Al Haavi ul Kabeer : Jild 2 : Safa 292)

Scan Page :

Note no 1:

Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. aur Imam Maawardi Rh. Al Mutawaffa 450 Hij. ke Darmiyaan Sirf 175 Saal ka Farq hai.

Note no 2 :

Yeh Saare Fuqaaha aur Muhaddiseen Shafa’ii aur Hanbali ke Maslak ke hai.

Hamaari Ghair Muqallideen Ahlehadees Umuman Kifayat sahaab se Qususan Guzaarish hai ke Kya Yeh sab Fuqaaha wa Muhaddiseen ne Tehreef ki hai ??

*👉 KUCH BOLNE SE ZARA SOCH LIYA KRE BINA TAHQEEQ KB TK AWAAM KO JHUTH BOLKR GUMRAH KAROGE*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27