🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 20 RIKAAT TARAVEEH KI DALEEL 🥀*



*PART 05*


*Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. Farmaate hai ke*

حَدَّثَنَا شُجَاعُ بْنُ مَخْلَدٍ، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ، أَخْبَرَنَا يُونُسُ بْنُ عُبَيْدٍ، عَنِ الْحَسَنِ ، أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، فَكَانَ يُصَلِّي لَهُمْ عشرين ركعة

*Sanad :*

*Imam Abu Dawud Rh. — > Shuja’a bin Makhlad Rh. — > Hushaim Rh. — > Yunus bin Obaid Rh. — > Hasan al Basri Rh.*

*Matan :*

*Hazrat Hasan al Basri Farmaate hai ke Hazrat Umar bin Khattab rdh. ne Ramzaan me Namaaz e Taraaweeh pardhaane ke liye hazrat Ubai bin Ka’ab Rdh. ki imaamat par logo ko jama kiya toh Ubai bin Ka’ab Rdh. unko 20 Rakaat pardhaate the.*

*(Sunan Abu Dawud, Bahawala Seer Alamun Nubula : Jild 1 : Safa 400-401)*

Scan Page :

Is riwayat ki Ruwaat ki Tafseel Yeh hai ke

1 – Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. Mashoor Siqa, Hafiz aur Imam hai. (Taqreeb)

2 – Shuja’a bin Makhlad Rh. Al Mutawaffa 235 Hij. Saheeh Muslim ke Raavi hai aur SIQA hai. (Al Ikmaal Tehzeeb ul Kamaal : Jild 6 : Safa 219)

Scan Page :

3 – Hushaim bin Basheer Rh. Al Mutawaffa 183 Hij. Saheehain ke Raavi hai aur SIQA wa Mazboot hai. (Taqreeb : Raqm 7312)

Scan Page :

4 – Yunus bin Ubaid Rh. Al Mutawaffa 139 Hij. bhi Saheehain ke Raavi hai aur Siqa, Mazboot, Faazil aur Taqwe waale hai. (Taqreeb : Raqm 7909)

Scan Page :

5 – Imam Hasan al Basri Rh. Al Mutawaffa 110 Hij. Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ke Markazi Raavi hai aur Siqa, Faqi aur Mashoor hai. (Taqreeb : Raqm 1227)

Lehaaza Yeh Sanad SAHEEH hai.

Tambeeh :

Baaz Log Is riwayat ko Mursal Kehte hai, Lekin SAHEEH Baat Yeh hai ke yeh riwayat Muttasil hai aur SAHEEH bhi hai.


Neez, Imam Abu Dawud Rh. ne is riwayat par Sukoot Ikhtiyaar bhi kiya hai, Jo ke Ghair Muqallideen ke Nazdeek riwayat ke SAHEEH hone ki DALEEL hai.

*👉 ISKA JAWAB NEXT PART ME AYEGI INSHA ALLAH*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27