ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ KITABUSSAUM (ROZA) π₯*
*π PART:- 1*
*↘KIYA ROZE KI ZABANI NIYAT ZARURI HAI ?*
*➡SAWAAL:-*(1) Agar koi shaks ramzan Al mubarak men roze ki niyat se sehri men uthhta hai , sehri karta hai , ba qaydah roza rakhta hai , lekin zabani roze ki niyat nahi karta kiya uska roza ho jaega?
(2) dil se roze ki niyat ki hai , sehri ke liye nahi uthhta ya irada to tha lekin soya huwa rah jata hai lekin subah uth kar ba qayedah roza rakhta hai , roze se rahta hai , albatta lafzan zabani niyat nahi karta, kiya is tarah roza ada ho jaega ?
*✔JAWAAB:-*Niyat dil ke irade ka name hai , aur ye qalbo zehan ka amal hai - is liye ahd e risalat Ψ΅ΩΫ Ψ§ΩΩΫ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
men in ibadaat ke liye lafzan niyat ke kalemaat mazkoor nahi hain, aur un nufoos e qudsiya ko iski zarurat bhi nahi thi kiyon ke woh har waqt har ibadat men huzuri e qalb , tawajjoh ilallah aur ikhlaas e lillahiyat ki kaifiyat se sarshaar rahte the ,woh jism o rooh, qalb aur qaalib ki yaksoi ,jamiyat aur azimat ke sath dauran e ibadat balke har haal men zaat e baari ta'ala ki janib mutawajja rahte the , is liye unko lafzan niyat ki chandaa'n (kuch) zarurat hi nahi thi, balke isi bina par baaz mutaqaddimin ne lafzan niyat ko bidat kaha, lekin mutakhirin fuqha e karam Aur jamhur e ulma e ummat ne jab ye dekha ke ab logon men "huzuri e qalb " aur "istihzaar e niyat " ki woh kaifiyat baqui nahi rahi to unhon ne lafzan niyat ko mustahsin o mustahab qarar diya take ibadat guzar ka zehan agar kisi aur janib mutawajjah hai ya bata huwa hai to kalemat e niyat ada karne se asl maqsood yani ibadat ki janib mutawajjah ho jae , in tamhidi kalemat ke baad guzarish hai ke mazkoorah bala pahli do suraton men jabke us shaks ki niyat roze ki hai, aur amlan roza rakh raha hai , to lafzan niyat ke kalemaat ada na karne ke bawajood roza sahih taur par ada ho jaega aur ajr men koi kami waqe nahi hogi aur pahli surat men to uska sehri ke liye uthna aur sehri karna ye bayyan taur taur par uski niyat saum (roza) par dalalat karta hai , Han albatta agar koi shaks niyat e saum (roza) wa niyat e ibadat ke baghair bhuka pyasa rahe to ye roza nahi hoga balke faqa kashi hogi*
*πTafheem al masail J-1 S-183,184*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment