ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ KITABUSSAUM (ROZA) π₯*
*π PART 05*
*↘ ROZE MEN JHOOT, GEEBAT AUR CHUGLI KA HUKAM*
*➡SAWAAL:-* Roze ki halat men agar koi shakhs jhoot bole, geebat kare ya kisi ki chugli khaye to kya uska roza fasid ho jayega?
*✔JAWAAB:-*Jhoot, geebat, chugli wagairah wese bhi qabeeh gunah hain aur quran majeed men in gunahon ki shadeed muzammat bhi farmayi gayi hai.roze ki halat men in gunahon ki shiddat men aur izafa ho jata hai, in muasi ke irtekaab se agarche roza fiqhi taur par fasid nahi hota, lekin is ibadat ke liye Allah tala ne jo be payaa'n ajar rakha hai, us se insan mehroom ho jata hai, chunanche ahadees e mubarka men irshad e rasool ο·Ί hai ki:
(1) "Jo shakhs (roza rakhne ke ba wajood) jhoot bolna aur jhoot par amal krna na chodhe to(Allah) Ψ§ΩΩّٰΩΩΩ ΨͺΨΉΨ§ΩΫٰ ko uski koi hajat nahi ki woh bhooka aur pyasa rahe."
(2) "Jab tum men se koi rozadar hoto na behooda baten kare aur na hi cheenkhe chillaye agar koi uske sath gali , galoch ya ladai jhagde pe utar aye to keh de (bhai mujhe maf kro) mera roza hai.
(3) "Bahut se rozedar aise hain jinhe roze se bhook aur pyas ke siwa kuch nahi milta. (algaraz haqiqi aur kamil roza wahi hai jis men insan tamaam fawahish, munkirat aur buraiyon se bache)"
*πTafheem al masail J-1 S-185, 186*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment