🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 KITABUSSAUM (ROZA) 🥀*



*💠PART 13*

*↘ AYYAME MAQHUSOOS MEN CHHODE HUWE ROZON K QAZA AUR NAMAZ KI MUAFI*

*➡SAWAAL:-*Main ek Doctor.hoon aur ek masle ke liye arse se pareshan hun, ayyame mqhsoos (Haiz o nifaas) men aurton ki jo namazen reh jati hain wo muaf hain aur uspar unki qaza lazim nahi, jabke in ayyam men unke jo roze chhoot jate hain, uspr unki qaza lazim hai, dono ke ehkam men tafawut kyun hai, jabki dono badni ibadat hain?

*✔JAWAB:-*Sahih muslim men hadees hai.Hazrat mazah bayan karti hain,ke main ne Hazarat ayesha رضی اللہ تعالیٰ عنہا se puchha
Kiya wajah hai ki haizah aurat ayyame mkhsoos(haiz o nifaas) men chhute huwe rozon ki qaza karti hai, magar un dino ki chhooti huwi namazon ke qaza nhi karti? Hazart e ayesha رضی اللہ تعالیٰ عنہا ne farmaya "kya tu hururiya hai"? (Mazah kehti hain ki) mene jwaban arz kiya main hururiya nahi hun.main to mahaz masla malum karna chahti hun.Hazrat e ayesha رضی اللہ تعالیٰ عنہا
Ne farmaya huzur anwar ﷺ ke zamane men jab hamen yeh ayyam ate to hamen rozon ki qaza ka hukam to diya jata tha aur namazon ki qaza ka hukam nahi diya jata tha.
Shi muslim hi ki ek aur hadees men hai.huzur ﷺ ne fatima bint e habesh se farmaya " jab tumhe haiz aye to namaz ko chhod do aur jab ayyam khatam ho jaen to gusl karke ( pak ho jao aur) namaz shuru karo."
Hadees men hururiya ka tazkira hai, is se murad khwarij hain, kiyon ki kufa k qareeb ek muqam "hurura" tha jahan pehli bar jama ho kar khraij ne apni tanzeem qayam ki thi.islam ki
Jamiyat se khuruj karne wala ek inteha pasand giroh tha.yeh apne daur ke anar kist the, is liye Hazrat ayesha رضی اللہ تعالیٰ عنہا
Ne mazah se pucha tum is tarah ke sawal kar rhi ho, kahin tum kharji to nahi ho?is se maloom huwa ki puri ummat k is bat par ijma hai ki aurat par ayyam e mqhsoos men chhooti huwi namazon ki qaza nahi hai.ahd e risalat aur ahad e shaba men bhi yahi sabka aqeedah o amal tha.Hazrat ayesha رضی اللہ تعالیٰ عنہا
Se zayada mustnad qaul is silsile men aur kiska ho sakta hai?
Sirf ahde khilaft e Hzrat Ali رضی اللہ تعالیٰ عنہ men kharjiyon ke ek aqliyat intehaai pasand giroh paida huwa jis ne yeh nazriya qayam kiya ke ayyam e mqhsoos ki chhooti huwi namazon ki bhi qaza hai mgar yeh batil firqah khtam ho gaya aur un ke nazriyat par aaj koi bhi kar band nahi hai.
Raha ye sawal ki is men kya hikumat hai ki namazon ki qaza nahi hai aur rozon ki qaza to Allah اللّٰــه تعالیٰ ka farman hai:
Aur farman e bari اللّٰــه تعالی(Allah) ٰ hai : Allah "tumhare liye asani chahta hai, wo tumhare liye dushwari nahi chahta,"

Farmane rasool hai "deen ko asan krke pesh karo aur is men logon ke liye dushwariyan na paida karo.tu is men hikmat yahi samajh men ati hai ki roze sal men sirf (1)mhina ramzan ke farz hain aur rozon ki qaza ko haaiz par lazim kar diya gaya, aur nmaz to mustqil aur dayimi freeza hai lihaza haaiz par iski qaza lazim karne men us ke liye dushwari hoti , is liye auraton ke liye riayat rakhi gayi hai.bandagi gair mashrut ata'at ka naam hai.ahkame shriyat ki hikmat tak hamare zehan ki rasai ho jaye to yeh hamari saadat hau aur kabhi hum hikmat ko na samajh paen to yeh hamare zehan narsa ki kotahi hoti hai.

*📚Tafheem al masail J-1 S-194-195*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27