πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄



*πŸ₯€ KITABUSSAUM (ROZA) πŸ₯€*



*πŸ’ PART 14 ka 1st*

*↘3 ROZA , 5 ROZA YA 10 ROZA TARAWEEH*

*➡SAWAAL:-*Kya tajir hazraat 3roza , 5roza ya 10 traweeh ada kar sakte hain? Sharai taur par kya pure ramzan al mubark ke mahine men traweeh ada krna zaruri hai, sharai hukam bayan kijiye?

*✔JAWAB:-*3 din se kam yaani 1 ya 2 din men quran khtam karna makrooh hai.kam az kam 3 din ya us we zyada dino men maslan 5, 7, 10 din wgerah men quraan majeed khtam kar sakte hain, shart ye ki quran majeed sahi padha jae, alfaz ki adayegi sahi ho aur sunne wale ke samajh me aye.agr 3 roza ya 5roza traweeh ke ehtmam is liye kiya jata hai ki ramzan al mubark men 1 se zyada quran majeed namaz e traweeh men pdhen aur sunne ki sa'adat hasil ho jae to ye khair k baais hai , badi sa'adat ki bat hai.lekin agr is ka maqsad ye ho ki 3, 5, 7 ya 10 raton men quran mjeed khtam karke baqiya ayyam(din) ramzan men taraweeh nahi pdhenge to yeh ajar se mehroomi ke baais hai, khwaah dukandari, tijarat aur karobar ke liye aisa kren ya mehz jism o jaan ki rahat ke liye yeh gunah hai, kyon ki traweeh ki namaz sunnat mokiddah hai aur pure ramzan k liye hai, mardon aur aurton sab ke liye taraweeh padhna sunnat hai jo log uzr e shrarai yaani intahaee zaeefi (budhapa) ya bimari ki wajah se roze na rakh sakte hon ya na rakh rhe hon wo bhi traweeh .nmaz e traweeh rozon ke taa'be nahi balki mustaqil ibadat.

*πŸ“šTafheem al masail J-1 S-196*



πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT πŸ”΄*

Comments

Popular posts from this blog

barkat E Ramadan 27