ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ KITABUSSAUM (ROZA) π₯*
*π PART 17*
*↘ AURATON KA IJTAMAAI ETAKAAF*
*➡SAWAAL:-* Aurton ka ijtemaai etakaaf kaisa hai? Jabki tamam auraten kisi dusre muqam par ya kisi dusri aurat ke ghar men jabki wo khud bhi mutakifa hain? Aetkaf ki jagah sharai pardah ka ehtamam bhi hai , etakaf ki jagah mehfooz bhi hai , etakaf ki jagah tamam sahulaten maujood hain?
*✔JAWAB:-*Aetekaf apni haqeeqat aur rooh ke aetebar se uzlat nashini aur khilwat gazini ki ibadat hai ki banda e momin sabse cut kar (Allah) Ψ§ΩΩّٰΩΩΩ ΨͺΨΉΨ§ΩΫٰ ki zaat se lau lagaye aur uske zikr o fikr men magan rahe, agar sahi tarbiyat ke ehtamam na ho to ijtemaiyat se uski rooh majrooh hoti hai ,ta ham khawateen kisi 1 makan men aetekaf kar sakti hai. ba sharte (1) wahan sharai hijaab ka ehtamam ho, (2)gair mehram mardon ka guzar na ho,(3) wo shadi shuda hone ki surat men apne shauharon warna apne walidain se ijazat le kar baithen, (4) aur aetekaf ke degar masail aur quyud e shariya ki pabandi karen.
*πTafheem al masail J-1 S-197-198*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment