ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ KITABUSSAUM (ROZA) π₯*
*π PART 23*
*↘ YAUME SHAK KA ROZA*
*➡SAWAAL:-*"Yaume shak" ke roze se kiya murad hai, is se kiyon mana kiya gaya hai?
*✔JAWAB:-*Baaz log ye karte hain ki agr 29 shaban ko rmzan al mubark ka chand nazar na aye to agle din roza rakh lete hain agr ramzan bil farz shuru ho chuka hoto ramzan ka pahla farz roza ho jaega warna nafli roze ke sawab to mil hi jaega,yani khud roza rakhne wala roze ki haisyat ke bare men mutaraddid hota hai use "yaum e shak" ke roza kehte hain, is se rsoollah ο·Ί ne mana farmaya hai.ammar bin yasir Ψ±ΨΆΫ Ψ§ΩΩΫ ΨͺΨΉΨ§ΩΫٰ ΨΉΩΫΫ ΩΨ³ΩΩ
kehte hain ki jisne yaum e shak ka roza rakha usne rasoollah ο·Ί ki na farmani ki, farzi ibadat qatai aur yaqeeni niyat ke sath ada karni chahiye aur rasooAllah ο·Ί ka wazeh irshad hai ki (ramzan ke) chand dekh kar roze rakho aur (shawwal) chand dekh kar roza chodh do, agar (29shaban ya 29 ramzan ko) matla abr alood (badal) ho (aur chand nazar na aye) to 30 din ka mahina pura karlo.
(Hwala sahih bukhari o sahih muslim)
*πTafheem al masail J-1 S-200-201*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment