ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ KITABUSSAUM (ROZA) π₯*
*π PART 25*
*↘ KYA MUSALSAL 30 DIN KE KAI QMARI (CHAND) MAHINE HO SAKTE HAIN*
*➡SAWAAL:-*Kiya musalsal 3 ya 4 islami mahine 30-30 din ke ho sakte hain ya musalsal kai islami mahine 29 din ke ho sakte hain ya az rowe quran o sunnat aisa nahi ho sakta?
*✔JAWAB:-*Pehle to ye galat fehmi door farma lijye ki qamari (chand) mhina islami hai aur shamsi mahina angrezi ya gair islami hai, shams o qamar dono Allah tala ke hukam ke taabe hain.is liye dono islami hain.qmari mahine ke sath hamare rozon aur zakat ki ibadat ka talluq hai aur shamsi nizam ke hisab se namazon ke auqat , sehr o iftar tulu o gurub ke auqat mutaliq hain.quran o sunnat men aisi koi tasreeh nahi hai ki zyada se zyada kitne qamri mahine musalsal 30 din ke ho sakte hain aur kitne musalsal 29 din ke ho sakte hain.imam ahmad raza barellwi ne fatawa e razawiya J-12 S-30 par hawala tofa e shahiya allama qutubuddeen sherazi likha hai ki, zyada se zyada musalsal 4 qamari mahine 30 din ke ho sakte hain aur zyada se zyada musalsal 3 mahine 29 din ke mumkin taur par ho sakte hain .hal hi men ek mahir falakiyat ne likha hai ki zyada se zyada musalsal 5 mahine ho sakte hain.
*πTafheem al masail J-1 S-201*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment