ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ KITABUSSAUM (ROZA) π₯*
*π PART 32*
*↘ MALIK KI IJAZAT KE BAGAIR MULAZIM KA SEHRI KHANA*
*➡SAWAAL:-*khalidah azmi ke ghar men mulazima thin usne azmi ke puche bagair khana lekar sehri karli aur chunki wo khana chori ke hukam men ayega , to kiya is surat men uska roza hoga ya nahi?
*✔JAWAB:-*Roza ye hai ki subah sadiq se lekar sham tak 3 cheezon yani khana, pina, aur jima se ruke rehna hai aur sehri aur iftari karna roze ki haqeeqat men dakhil nahi aur na iski shariat men dakhil hai.
*(Fatawa razwiya)*
Fir agr khalidah ne jo chori shudah khane se sehri ki to ye haram mal se waqe huwi to chori ka gunah juda raha lekin farz ke saqit hone men koi shubah nahi, yani uska roza to ho jayega magr usko chori ka gunah milega.
*π Aurton ke masail S-194*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment