🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Ulama E Ahnaaf Aur Rakate Taraveeh 🥀*
❖ Post:-16 ❖
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
Allama Abul Akhlaas Hasan Bin Ammar Sharam Bulali Hanfi Ma'turidi رحمہ اللہ تعالٰی (Paidaish 994-Hijri Wafat 1069-Hijri Ba'roz Juma Ramzan Me Asr Ke Bad Hui) Aap 20-Rakat Taraveeh Ke Qa'yel Hain Neez Use Sunnat Batate Huye Kaisa Jaame Istedlal Farmate Hain Padhiye-
واما ثبت العشرون بمواظبة الخلفاء الراشدين ماعدا الصديق رضى الله تعالى عنه ففى البخارى فتوفى رسول الله صلى الله عليه وسلم والأمر على ذلك فى خلافة ابى بكر وصدر من خلافة عمر رضی اللہ عنہ حين جمعهم عمر رضی اللہ تعالٰی عنہ على ابى بن كعب رضی اللہ تعالٰی عنہ فقام بهم فى رمضان فكان ذالك اول اجتماع الناس على قارئ واحد فى رمضان كما فى فتح البارى وبالجملة فهى سنة رسول الله صلى الله عليه وسلم سنھالنا وندبنا الیھا وکیف لا، وقد قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم علیکم بسنتی وسنة الخلفاء الراشدين المهديين من بعدى عضوا عليها باالنواجذ وروى ابو نعيم من حديث عروبة الكندى ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال ستحدث بعدى اشياء فاحبها الى ان تلزمواوما أحدث عمر (رضی اللہ تعالٰی عنہ)
Tarjamah- 20-Rakate'n Hazrat Siddiqe Akbar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ko Chhod Kar Baqyah Khulafa E Rashideen (Hazrat Umar Hazrat Usman Hazrat Ali رضی اللہ عنہم) Se Bila Tark Mustaqilan Sabit Hai, Chunanche Bukhari Me Hai Rasulullah صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wafat Ho Gai, Aur Maamla Isi Tarah Raha, Khilafate SIDDIQI Me Bhi Aur IBTEDAI DAURE FARUQI Me Bhi Yahan Tak Ki Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Ne Unhe (Sahaba Wa Taba'een) Ko Ubai Bin Ka'ab رضی اللہ عنہ Par (Ki Imamat Par) Jama Kiya, Pass Unho Ne Unhe Ramzan Me Namaz Padhai, Ye Ramzan Me Eik Qaari Ke Piche Logon Ka Pehli Martabah Jama Hona Tha (Taraveeh Ki Namaz Ke Liye) Jaisa Ki Fathul Baari Me Hai, Haasile Kalaam Ye Ki Ye Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ki Sunnat Hai, Jise Aapne Hamare Liye Muta'ayyen Farmaya Hai, Aur Kaise Na Ho Jab Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Khud Farma Chuke Hain Ki Tum Par Laazim Hai Ki Meri Aur Mere Baad Aane Wale Khulafa E Rashideen Ki Sunnat Ko Mazbuti Se Pakdo Jo Hidayat Yaftah Hain, Abu No'Aim Ne Riwayat Kiya Hai Ki Uroobah Kindi Ki Hadees Me Hai Ki Rasulullah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Irshad Farmaya Ki Mere Baad Jo Chize'n Tum Me Paida Hongi Mere Nazdeek Sab Se Pasandidah Wo Hai Jise Umar Ne Nikala Ho.
[طحاوى على مراقى الفلاح، صفحہ نمبر-٢٤٦]
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment