🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Ulama E Ahnaaf Aur Rakate Taraveeh 🥀*



      ❖ Post:-06 ❖

بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

Hanfi Mazhab Ke Mash'hoor Aalim Shamsul Aimmah Muhammad Bin Ahmad Bin Abi Sahal Sa'rakhsi رحمہ اللہ Apni Mash'hure Zamana Kitab "MABSOOT" Jo Ki Imam Muhammad Bin Hasan Sheebani رحمہ اللہ Ki Zahirur Riwayaat Par Mushtamil Hai Usme Aap Farmate Hain-

فانها عشرون ركعة سوى الوتر عندنا وقال مالك رحمه الله تعالى السنة فيها ستة وثلاثون قيل من اراد ان يعمل بقول مالك رحمه الله تعالى ويسلك مسلكه ينبغى ان يفعل كما قال ابو حنيفة رحمه الله تعالى يصلى عشرون ركعة كما هو السنة ويصلى الباقى فرادى كل تسليمتين أربع ركعة وهذا مذهبنا وقال الشافعى رحمه الله تعالى لا بأس باداء الكل جماعة

Tarjamah- Taraveeh Hamare (Ahnaaf) Ke Nazdeek 20-Rakate'n Hain, Aur Imam Malik رحمه الله تعالى Kehte Hain Sunnat Isme 36-Rakaten Hain, Kaha Gaya Ki Jo Shakhs Imam Malik رحمہ اللہ Ke Qaul Par Amal Karna Chahe Uske Liye Theek Ye Hai Ki Imam Abu Hanifah رحمہ اللہ تعالٰی Ke Bayan Ke MUTABIQ Amal Kare, Yaani Jamat Ke Saath 20 Padhe Kyun Ki Sunnat Yahi Hai Aur 16 Tanha Padhe, Har 4-Rakat Me 2 Salam Ho'n (Yani 2-2 Rakat Kar Ke) Ye Hamara (Ahnaaf Ka) Mazhab Hai, Aur Imam Shafai رحمہ اللہ تعالٰی Ne Farmaya Kul Ki Kul 36 Jamat Se Padhne Me Koi Harj Nahi.

{مبسوط، جلد-٢، صفحہ نمبر-١٤٤}

Gair Muqallideen Ko Pata Hai Bhi Ki Imam Shamsul Aimmah رحمہ اللہ Hanfi Mazhab Ke Kitne Bade Aalim Guzre Hain?

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27