🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Ulama E Ahnaaf Aur Rakate Taraveeh 🥀*



      ❖ Post:-21 ❖

بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

Ali Bin Sultan Muhammad, LAQAB Nuruddin, Al'Maruf Mulla Ali Qari Harwi رحمہ اللہ Hanfi Mazhab Ke Mash'hoor Aalim, FAQEEH, Muhaddis, Mufassir, Kasirut Tasaneef, Sufi, Jumla Uloome Islamiyah Ke Maahir, Aapki Wiladat 930-Hijri Ko Afghanistan Ke Shaher Khurasan Ke Qasbah Haraat Me Hui, Aur Wafat 1014-Hijri Me Makka Sharif Me Hui Tadfeen Jannatul Mo'Alla Me Hui.

Aapne Mishkat Sharif Ki Sharah Mirqatul Mafateeh Likhi Hai, Usme Aap 20-Rakat Taraveeh Ke Hawale Se Likhte Hain-

والذى صح انهم كانوا يقومون على عهد عمر بعشرين ركعة 

Tarjamah- Sanade Sahi Se Sabit Hai Ki Sahaba (رضوان اللہ علیہم اجمعین) Ahde Farooqi Me 20 Rak'aten Padhte The.

[مرقات المفاتیح شرح مشکوة المصابیح، جلد-٢، صفحہ نمبر،١٧٤]

Isi Mirqat Me Dusri Jagah Likhte Hain-

وفى صحيحى ابن خزيمة وابن حبان انه صلى بهم ثمان ركعات والوتر لكن اجمع الصحابة على ان التراويح عشرون ركعة

Tarjamah- Sahi Ibne Khuzaimah Wa Sahi Ibne Hibban Me Hai Ki Rasulullah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Sahaba Ko 8 Rak'aten Padhai Aur 3 Witr Lekin Sahaba Ka Ijma Hai Ki Taraveeh 20 Rakat Hai.

[مرقات، جلد-٢، صفحہ نمبر-١٧٥}

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

*🖊 Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27