ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ Ulama E Ahnaaf Aur Rakate Taraveeh π₯*
❖ Post:-23 ❖
Ψ¨Ψ³Ω
Ψ§ΩΩΩ Ψ§ΩΨ±ΨΩ
Ω Ψ§ΩΨ±ΨΩΩ
Ψ§ΩΨ΅ΩΩΨ© ΩΨ§ΩΨ³ΩΨ§Ω
ΨΉΩΩΩ ΩΨ§ Ψ±Ψ³ΩΩ Ψ§ΩΩΩ Ψ΅ΩΩ Ψ§ΩΩΩ ΨΉΩΩΩ ΩΨ³ΩΩ
Ab Aaiye Hindustan Ke Hanfi Ulama Ka Maoqaf Pata Karen, Alhamdulillah Hindustan Me Jab Se Islam Ki Sham'a Roshan Hui Yahan Jitne Badshah, Ulama, FUQHA, FUQRA, Sufiyah, Mashayekh, Tashreef Laye Sab Ke Sab MUQALLIDEEN The Jinme Aksar Ka Mazhab Hanfi Hi Tha.
Hindustan Me Musalmano Me Ahnaaf Ki Aksariyat Hamesha Se Ghalib Rahi Hai, Is Zarurat Ko Dekhte Huye Badshah Hazrat Aurangzeb Alamgeer Ψ±ΨΩ
Ϋ Ψ§ΩΩΫ (Jo Khud Bhi Mazhaban Hanfi The) Musalmano Ke Shari Faislon Ko Quran O Sunnat Ke MUTABIQ Islami Adalat Me Hal Karne Ke Liye Eik Aisi Kitab Tarteeb Dene Ka Khayal Kiya Jisme FUQHA Ke Rajeh AQWAL Hon Taki Logon Ko Kai Kai Kitabon Ko Na Dekhna Pade, Balki Eik Hi Kitab Se Saare Masayel Hal Ho Jayen, Chunanche Badshah Ne Iske Liye Eik Kitab Tarteeb Dene Ka Khayal Kiya Jiske Liye Eik Committee Banai Gai, Jiska Sadar Hazrat Shaikh Nizam Burhanpuri Ψ±ΨΩ
Ϋ Ψ§ΩΩΫ Ko Banaya, Aur Us WAQT Ke Bade Bade Fuqha E Kiram Jama Huye Jinhe Sarkari Khazane Se Tankha Dee Gai Aur Aisi Kitab Tarteeb Dee Gai Jo Us Zamane Se Aaj Tak Islami Adalaton Me Faislon Ke Liye Kaam Aati Rahi, Jiska Naam FATAWA ALAMGEERI Aur Fatawa Hindiyah Bhi Hai Isme Aur 2 Kitaben Add Ki Gai, QAZI KHAN Aur Fatawa Bazzaziyah.
Iske Tarjame Kai Zubano Me Huye Angrezi Daur Me Bhi Musalmano Ke Faisle Alamgeeri Se Hi Hal Hote The Alamgeeri Hindustan Ke Ilawah Kai Islami Mamalik Me Shari Faislon Ke Liye Rakhi Gai.
Aaj Bhi Koi Bade Se Bada Aalim Aisa Nahi Hai Jise Fatawa Alamgeeri Ki Zarurat Na Padti Ho Allah Pak Ne is Kitab Ko Badi MAQBULIYAT Bakhshi.
Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH
*π Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment