Allah ke 4 Wali jinhone Pura Ramzan Doodh na piya

πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄πŸπŸ”΄



*πŸ₯€ Allah ke 4 Wali jinhone Pura Ramzan Doodh na piya πŸ₯€* 



1) πŸ’™ *Hazrat Gaus e azam Sheikh Abdul Qadir Jilani Rehmatullah alaih* πŸ’™
Hazrat Sarkar Gaus e Azam jo saare peero ke peer aur walio ke wali hai, apki wiladat 1 Ramzan 470 hijri me hui thi. Sarkar gaus pak ki jab paidaish hui to usi din jilaan me 1100 ladhke paida hue aur sabke sab wali thay. Ap jab navjaat bacche thay to apke bare mein ye bat mash'hoor ho gayi thi ke Hazrat Abu saleh Rehmatullah alaih ka beta jo hai wo sehri se lekar iftar tak doodh nahi pita aur roze se rehta hai. Us din ke bad Jab bhi Mah e Ramzan ka chand aasman mein nahi dikhta tha to log apki maa se puchte ke aaj bacche ne din me doodh piya tha ya nahi. 

2) 🧑 *Hazrat Baba Fareed Masood Ganjshakar Rehmatullah alaih* 🧑
Ap Hazrat Baba Fareed chishtiya silsile ke bohot azeem buzurg guzre hai, Ap Hazrat Nizamuddin Auliya Rehmatullah alaih ke peer aur Hazrat Makhdoom Sabir Pak ke mamu thay. Hazrat Baba fareed ki wiladat bhi 1 Ramzan ko hui thi aur 29 shaban ka din guzar kar jab maghrib bad 1 ramzan ki shab lagi to logo ne baba fareed ke walid Hazrat jamaluddin Suleiman ke pas akar arz kiya ke, "Ramzan ka chand abhi tak nazar nahi aya hai, ap kya fatwa dena chahenge is bat Par"....itne me ek wali zahir hue aur unhone farmaya ke, "arey pareshan kis bat ke lie hote ho, Jamaluddin Suleiman ke yaha ek Qutub paida hua hai... Agar usne aaj maghrib me doodh nahi piya hai to samjh lena ke kal Ramzan ka pehla roza hai aur chand ho gaya hai"...is bat ki tasdeek karne ke lie agle din log subah sehri ke waqt Hazrat jamaluddin Suleiman rehmatullah alaih ke ghar jate hai to pata chalta hai ke baba fareed ne aadhi rat se hi doodh pina chhodh diya tha ...yeh dekkhar log us din roza rakh lete hai aur kuch waqt bad multan se bhi khabar ati hai ke ramzan ka chand to kal hi ho gaya tha ...Ap baba fareed ganjshakar rehmatullah alaih bhi pura ramzan iftar tak apni walida ka doodh nahi pite thay. 

3) πŸ’š *Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi Rehmatullah alaih* πŸ’š

Sarkar Gaus e azam aur baba fareed ki tarah, hazrat maulana fazle rehma maadar zaad wali paida huye thay, Aapki paidaish se pehle chaar waliyo ne apke aane ki basharat di thi. Pehli basharat apki wiladat ke takreeban 300 sal pehle Hazrat Taj baksh jalal shaheed rehmatullah alaih ne apke pardada hazrat Misabhul ashiqeen chishti rehmatullah alaih ko di thi ke tumhari nasal se ek aesa Farzand saleh paida hoga jo sare alam ko faiz pohchayga aur Sunnat aur kitab(Quran o hadees) ki mukammal tasweer hoga (yani ke Allah aur rasool ke farman Par sakhti se pairokar hoga) 

 Dusri basharat Hazrat Makhdoom Shah Safi sahab safipuri rehmatullah alaih aur unke pir Hazrat Sheikh saad khairabadi Rehmatullah alaih jo makhdoom shahmeena Shah ke mehboob khalifa bhi hai, in do buzurgo ne bhi Hazrat Misbahul Ashiqeen chishti alaihir rehma ko basharat di thi ke ,"Apki Aal se aesa aaftab e wilayat paida hoga jo charo dishao me mash'hoor hoga aur makhlooq ko faizyab karega"

Teesri basharat Hazrat Shah Abdur Rehman Chishti lakhnawi rehmatullah alaih ne Hazrat Ahlullah miya rehmatullah alaih se kaha tha ke khuda tumko ek aesa farzand ata karega jo Suraj ki tarah dunya me roshan hoga aur uska faiz mashrik se maghrib tak aesa roshan hoga ke uske aage deegar sitare ki tarah ho jayge, uska nam Fazle Rehma rakhna.

1 Ramzan 1208 Hijri me Qutubul Aqtab Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi Rehmatullah alaih ki jab subah sadiq ke waqt wiladat hui to aap ne us roz apni walida ka doodh iftar tak na piya aur pura ramzan roza rakha. Pure mallawa kasbe me ye bat mash'hoor ho gayi thay ke Hazrat Ahlullah miya ke ghar ek aesa farzand paida hua hai jo Iftar tak doodh nahi pita. Ap sarkar Fazle Rehma walid ki janib se Sayyidina abu bakr siddique radiyallahu ta'ala anhu ki 31 pusht me ate hai aur walida ki janib se sayed hai.

4)πŸ’› *Hazrat Haji Waris Ali Shah Rehmatullah alaih* πŸ’›

Hazrat Sarkar Haji waris ali Shah rehmatullah alaih ki wiladat 1 Ramzan 1234 Hijri mein hui thi. Ap apne waqt ke bohot badhe wali guzre hai. Ap Hazrat Khadim ali Shah sahab ke mureed aur Khalifa hai. Apke bare mein bhi ye bat mash'hoor hai ke aap ne bhi Pura ramzan iftar tak apni maa ka doodh nahi piya aur pura ramzan ap roza rakhte thay.Ap Imam Hussain ki 26vi pusht me aate hai. Apne hamesha logo ko Mohabbat ka paigam diya.



πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘πŸ‘‘
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT πŸ”΄*

Comments

Popular posts from this blog

Nade ALI Shareef Ka Mahe Ramzanul Mubarak ka mujarrab Amal

barkat E Ramadan 27