Gazwa e Badar Aur Aqeedah e Ahl e Sunnat
ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄ππ΄
*π₯ Gazwa e Badar Aur Aqeedah e Ahl e Sunnat π₯*
*✍π» Rizwan Mustafai*
*17 Ramadan 2 Hijri Baroz e Jumah*
*Gazwa* e Badar ka waqiya Maidan e Bdr me pesh aaya iss Gazwe ko Badar Kubra aur Badar e Uzma bhi kaha jata hai...
*Kayi* saalo se hum iss Gazwa ke mutaliq bahot se waqiyaat Sunnte aaye hai aaj mai
*Gazwa e Badar aur Aqeedah e Ahl e Sunnat*
ke mutaliq kuch points tahreer kr rha hun *Ahl e haq Ahl e Mohabbat* ke dil me khushi dakhil krne ki niyat se...
*Ye puri tahreer Shaikh e Mohaqiqq Hazrat Shaikh Muhaddis e Dehlvi alaihi rehma ki kitab Madaraj un Nabuwat se hai tamam makatib e fikr ke log inn se mutafiqq hai...*
*1)Huzur hamari Tarah nhi hai*
*Safar* e Badar me Huzur Alaihissalam ke sathi sawar Hazrat e Ali aur Hazrat e Zaid bin Haris radi Allahu anhuma the jb Huzur Alaihissalam ke paidal chalne ki baari aati thi to wo kehte the Ya Rasool Allah aap sawar ho aur hum aapke sth paidal chalege, iss par huzur e paak farmate the ke
*"Tum Mujhse Ziyada Taqatwar Nhi ho- "*
*Maidan e Bdr me Huzur* ne kuch kankariya hth me lene ke baad kafiro ki trf phenki, koi ek bhi mushrik aisa nhi rha jis ki aankho aur nathno me wo sangreze na pade ho,
*2) Gazwa e Badar aur ilm e Gaib*
*Hazrat* e Anas Radi Allahu anhu farmate hai Huzur Alaihissalam zameen pe hath rakhte aur frmate jate the ke ye jagha fulan ke marne ki hai iss jgha par fulan qureshi mara jayega aur iss maqam par fulan fulan mara jayega aur aap mare jane walo ka ek ek ka naam lete the,wo ain usi maqamat pe mare jahan par huzur sallallahu alaihi wasallam ne hath rkha tha
*Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba,*
*Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain*
*3) Gazwa e Badar aur ikhtiyarat e Mustafa*
*Hazrat* e Ubaidah bin Haris ke ghutne par zakham aaya, Unko Huzur ki khidmat me laya gya unhone pucha Ya Rasool Allah kya mai Shaheed hun..!
Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Han tum Shaheed ho balke unka inteqal maidan e Jung me nhi hua tha balke Badar se wapsi ke wqt wadi e Sufra ya Roha me unka inteqal hua lekin ye hamare Nabi ka ikhtiyar hai jise jo chahe wo ata kare,
*Hazrat* e Ma'az Jb abu Jahel ko qatal kr ke wapas palte to unka ek baazu khaal ke sth pehlu me latak raha tha aap sallallahu alaihi wasallam ne uspe apna luaab e dahen lagaya aur unka hath durust hogya, aur aap Hazrat e Usman Ghani ke daur tk zinda rahe..
*Ek* sahabi akkasha bin mahez asadi aaye unki talwar tut gyi thi huzur ne unke hath me ek lakdi pakdai jo talwar bn gyi iss talwar ka naam Auon rkh diya gya ye huzur ka ikhtiyar hai
*4) Gair Ullah se madad mangna*
Bahot mashoor haqiqat hai ke maidan e bdr me firishte madad ke liye aaye the jb firishte madad kr skte hai to Allah ke Nabi wali bhi madad krte hai ye Quran e majeed me maujud hai..
*5) Murde Sunnte hai*
Fateh Badr ke aap sallallahu alaihi wasallam 3 din tk wahi ruke rahe aur kuch sahaba ke sth ek kunwe ke paas tashreef le gye jis me laashe dali gyi thi, aap sallallahu alaihi wasallam ne unme se ek ek ko naam lekar pukara Hazart e Umar ne kaha Ya Rasool Allah aap aiso jismo se baate kr rhe hai jin ki ruhh maujud nhi?
Huzur Alaihissalam ne farmaya uss khuda ki kasam jis ke qabza e qudrat me meri jaan hai "Tum inse ziyada sunne wale nhi ho"
Maloom hua ke mare hue log Sunnte hai chahe kafir hi q na ho,
*aur* Bukhari Sharif me bhi hai ke qbr wale Sunnte hai...
*Ye kuch baate hai jo meri nzr se guzri hai Alhamdulillah hamara aqeedah inn tamam baato pe hai ππ»ππ»ππ»*
ππππππππππ
*π MASLAKE AALA HAZRAT π΄*
Comments
Post a Comment